Nakhun Ki Hifazat

Nakhun Ki Hifazat
nakhun ki hifazat
Nails Care
Weather khuwah garam ho nakhun ki hifazat or dekh bhaal intahai zaroori hai or is maqsad ke liye important tareen amar regularly nakhun ki safai hai. Nakhuno ke ird gird thoray se neem garam oil ki malish karein or phir ise achi tarah saaf kar lein takay skin par jama huwa mail kuchail door ho jaye phir hydrogen peroxide ke 3 spoon, ammonia ke 1 spoon mein mix karein or is mixture of cotton pieces ki madad se hands or nails par lagayen. 2 ya 3 minute k baad hands ko dho kar khushk kar lein. Agar aap ke nails kharab hein or aap in ko numaya karte waqt inferiority complex ka shikar ho rahi hein to thori se care se aao ke nails khoobsurat ban saktay hein. Nakhun ki munasib or khoobsurat kharash tarash kar ke in ki khoobsurti ko barqarar rakha ja sakta hai. Is liye nakhun ko nail polish se arasta karte waqt sab se pehlay shafaf base coat nakhun par lagayen. Jab yeh khushk ho jayen to natural pink color polish use karein. Sone se qabal apne hands par cream lagayen apne hatho or nails par olive oil ya cream achi tarah malein hatho par gloves pehnein or so jayen aap ke nails or hands dono dilkash ho jayengay.

Natural Beauty Tips

Natural Beauty Tips
natural beauty tips
Jild or rangat ko nikharne ke liye ladies har totka use karti hein. Kabhi kisi friend se husn mein izafay ka koi method pata chal jaye, kisi risale mein koi totka parh lein to bus is par amal ki koshish ki jati hai. Husn mein izafay ke yeh totkay har kisi ke liye useful nahi hotay, ya to ladies ko koi changing hi mehsoos nahi hoti ya phir is ka result hi kharab nikalta hai or jild mazeed kharab ho jati hai. 1 masla yeh bhi hota hai ke artificial tor par tayyar hone walay saman mein chemical ingredients waqti tor par husn ko nikhar detay hein or in ke use se skin disease bhi ho jati hein. is ke bar aks natural ingredients ke use se skin ki health or freshness bakhshi ja sakti hai. Almond, carrot, apricoat, cucumber or honey husn ke izafay mein important role ada kartay hein. Almond ka use aesi khawateen ke liye bohat acha hota hai jin ki jild roghani or chikni ho.

Balon Ko Khushki Say Bachaye

Balon Ko Khushki Say Bachaye
balon ko khushki se bachye
Save Your Hair From Dandruff
Baal khush ho to na sirf rookhe pheeke or be jan lagtay hein balkay weak ho kar tootna or girna bhi shru ho jatay hein sir ki jild mein aese gland hotay hein jo jild or balon ko qudrati nami faraham karte hein jis se baal sehat mand or chamakdar rehtay hein, agar kisi waja se yeh gland theek tarah se kaam krna chor dein to khushki paida honay lagti hai, sard mosam mein aam tor par khushki ki shikayat ho jati hai jis ki bohat si wajoohat hein taham thori mehnat or ahtiyat se balon ko khushki se bachaya ja sakta hai. Ziyada garam pani se sar dhona khushki ki 1 bari waja hai, koshish karein ke neem garam pani se nahayen, ziyada garam pani balon ke liye munasib nahi, sardiyo mein kam pani ka use or paseena na aana bhi khushki ki 1 bari waja hai. Is problem par bhi qaboo pana chahiye. Is ke ilawa haftay mein kisi achay oil se 2 dafa sar ka massage zaroor karein. Shampoo haftay mein sirf 2 bar use karein or shampoo karne ke baad conditioner zaroor lagayen. Sarso ka oil, dahi or egg hair ke liye useful hai. 1 bartan mein 2 spoon sarso ka oil, 3 spoon curd or 1 egg ki zardi mix kr lein or is mixture ko hair ki jaron mein lagayen, ghantay baad sar dho lein, har haftay mein 1 bar aesa karein to 1 month ke baad khushki se mukammal nijat mil jaye gi. Is ke ilawa bolon mein comb karna bhi inhein khushki se mehfooz rakhta hai. Balon mein comb karne se jild mein blood circulation increase ho jata hai jis se chiknahat paida karne walay glands bhi harkat mein aa jatay hein or youn hairs tak munasib quantity mein chiknai pohanchti rehta hai. Comb karne ke liye motay dandano wali kanghi use karni chahiye or ise sar mein kuch dair ke liye taiz taiz ragarne ki bajaye 15 minute tak halke hath se karna chaiye, rozana aesa karne se hair jald hi sehat mand lagnay lagein gay.

Aankho Ki Khoobsurti K Liye

Aankho Ki Khoobsurti K Liye
aankho ki khoobsurti k liye
Tips For Beautiful Eyes

Khawateen apni aankho ki dekh bhaal kis tarah karti hein is ka andaza ird gird ki jild aankho ki chamak o khoobsurti or umoomi sehat se ho jata hai. Agar aap apni aankho ke sath acha salook karein yani inhein na sirf dhoyen balkay ghard o ghubar se bhi bacha kar rakhein takay aankho ki chamak or khoobsurti barqarar rahay. Aankho ke ird gird ki jild pooray chehray ki jild se ziyada patli or nazuk hoti hai or is mein oil gland phele hotay hein in ki sehat ke liye achi cream use ki ja sakti hai ji ke use us hissay ke wrinkles khasi had tak ho jati hein. Or aesi khawateen ko cream ka use zaroor karna chahiye jin ki jild khushk ho or umar 40 year se ziyada ho. Eyes ko maskara lagate waqt khayal rakhein ke eyes poori tarah khuli hui no hon or aayenay ki janib barah-e-rast
na dekhein.

Pani Say Chehra Khoobsurat

Pani Say Chehra Khoobsurat
pani se chehra khoobsurat

Insani sehat ke liye pani ki bohat ziyada ahmiyat hai. Pani ke munasib istamal se chehray ki khoobsurti mein bhi izafa kiya ja sakta hai, khawateen chehray ki jild ko saaf suthra or shadab banane ke liye tarah tarah ke jatan karti hein taham sirf pani ke chand glass wo kaam kar sakte hein jin ke liye khawateen expensive lotion or creams istamal karti hein, pani hamari jild ko qudrati nami faraham karta hai or lotion ya deegar moisturizer se hasil hone wali nami is ka muqabla nahi kar sakti, is maqsad ke liye waqfay waqfay se pani peene ko aadat bana lein, expert ke mutabiq sirf life style mein positive changing la kar chehray ki taro tazgi bahal ki ja sakti hai. Agar aap ko raat dair tak jagnay or subah dair tak sonay ki aadat hai to ise badalna hoga, raat jitni jaldi mumkin ho so jayen or subah suraj nikalne se pehle bedar hon, uthne ke baad sab se pehlay kaam 2 glass pani peena hai, is ke baad 1 ghantay tak nashta karein, pani hamesha khane se qabal piyen ya khane ke doran chand ghoont pani pi lein taham khana khatam karne ke baad pani peenay na sirf maida kharab hota hai balkay jigar ke masail bhi paida hotay hein or youn chehray ki ronaq mein bhi kami aati hai. Din mein kam az kam 3 liter pani zaroor piyen, koshis karein ke piyas lagnay se qabal pani pi lein, din mein 1 bar kisi bhi waqt 1 glass pani mein 1 khane ka spoon sugar or 2 chutki salt mix kar ke piyen, is se na sirf energy bahal rahegi balkay namkiyat ki kami bhi kisi had tak poori hogi. Pani se chehra dhona bhi jild ki taro tazgi mein izafa karta hai, garmiyo ke mosam mein din mein kam az kam 5 bar thanday pani se chehra zaroor dhoyen, agar aap ki jild chikni hai to phir is se bhi ziyada bar chehra dhona mufeed rahe ga.

Junoon, Pagal Pan Ka Eelaj

Junoon, Pagal Pan Ka Eelaj
junoon or pagal pan ka ilaj
Mania Causes And Treatment In Urdu

Daant Ka Dard (Tooth Ache)

Daant Ka Dard (Tooth Ache)
tooth ache treatment in urdu
Tooth Ache Treatment In Urdu

Gaalo Ki Jhurriya Door Karna

Gaalo Ki Jhurriya Door Karne Ke Liye
gaalo ki jhurriya door karnay k liye
Gaalo Ke Wrinkles Door Karna
Gaalo Ki Jhurriya Door Karne Ka Ghareloo Totka

1. Din mein 3 bar fresh lemon rus malein or half an hour baad wash kar lein, within few days jhurriya door ho jayengi.
2. Arq-e-Gulab 5 tola, badam roghan 1 tola, pisi hui phitkiri 1 tola, ando ki safaidi 4 adad. Sab ko mila kar khoob phent lein. Phir halki aag par itna pakayen ke marham ban jaye, raat ko chehre par laga kar malish karein. 15 youm mein faida hoga.

Daanto Ki Har Beemari K Liye

Daanto Ki Har Bimari K Liye
daanto ki har beemari k liye
Danto Ki Har Beemari Ke Liye Ghareloo Totka


Gaalo Ka Rang Saaf Karnay K Liye

Gaalo Ka Rang Saaf Karnay K Liye
gaalo ka rang saaf karnay k liye
Galo Ka Rang Saaf Karne Ke Liye Ghareloo Totkay

Subah Saweray pari hui shabnam ko chehray par malnay se rang saaf ho jata hai, chehray mein chamak paida ho jati  hai.
Taza doodh 1 tola lekar is mein aadhay lemon ka rus nichor dein. Milk phat jaye ga is galo par khoob malein. 41 roz ke amal se galo ka rang hairat angez tor par saaf ho jaye ga.

Mah-e-Shaban May Parhnay Walay Wazaif

Mah-e-Shaban May Parhnay Walay Wazaif
mah-e-shaban may parhnay walay wazaif
Mah-e-Shaban May Parhnay Walay Wazaif In Urdu
Mah-e-Shaban Ka Wazifa 
Mah-e-Shaban Ka Wazifa In Urdu
  • Rasool Allah (P.B.U.H) irshad farmatay hein ke Mah-e-Shaban mein jo koi 3000 martaba Durood Sharif parh kar mujh ko bakhshay ga baroz  hashar uski shafaat karni mujh par wajib ho jayegi.
  • Shaban Ul Moazzam ki 14 tareekh ko baad Namaz-e-Asar aftab ghuroob honay ke waqt ba wuzu 40 martaba la hawla wala quwwata illa billah aliyil azeem parhay us ke liye 40 saal ke gunah Allah Ta'la maaf farmaye ga.
  • Shaban ki 15wi raat ko Surah Yaseen sharif 3 dafa parhnay se hasb-e-zail faiday hein:
  1. Taraqqi Rizq
  2. Darazi Umar
  3. Na gahani aafato se mehfooz rehna 
  • Shaban ki 15wi raat Surah Dukhan 7 martaba parhna bohat afzal hai Insha Allah Ta'la Parwardigar-e-Alam 70 hajaat dunya ki or 70 hajaat uqba ki qabool farmayega.

Rizq May Tarakki K Liye

Rizq May Tarakki K Liye

rizq may barkat k liye
Rizq May Tarakki K Liye Wazifa
Rizq Mein Taraqqi K Liye Wazifa
Rizq Mein Tarakki K Liye Wazifa

 Financial problems aaj  k dor ka bohat bara masla hai. Rizq mein tarakki k liye yeh Wazifa bohat mufeed hai. Fajar ya Isha ki Namaz k baad awal-o-aakhir 11 martaba Durood Sharif or mandarja bala Ayat mubarka ko 70 martaba parhay or Ya Lateefu 111 martaba parhay. Choonkay Rizq ki tarakki mustaqil masla hai lehaza rizq mein tarakki k liye yeh amal bhi mustaqil karay.

Rizq Ki Farawani K Liye

Rizq Ki Farawani K Liye
rizq ki farawani k liye

Dengue Virus Say Bachao K Liye Wazeefa

Dengue Virus Say Bachao K Liye Wazeefa
dengue virus se bachao ke liye wazifa

Dengue Virus Say Bachao K Liye Wazeefa In Urdu
Dengue Virus Say Bachao K Liye Wazifa In Urdu

In order to taking precautionary measures prescribed by the Health Department for avoidance of Dengue fever and other epidemics, Wazeefa of the Holy Quran's above mentioned verses of cure should be undertaken for 11 days while seeking forgiveness of sins.
  • When the above mentioned six verses are recited together in order, it will be considered to have been recited once.
  • These six verses should be recited 11 times in a day.
  • The above mentioned Durood Sharif should be offered before and after the recitation of those six verses.
  • All members of the family should recite this Wazeefa at a fixed time in one sitting and blow it on themselves. They should blow it on water, make patients drink this water in addition of sprinkling the water in homes.
  • The dengue victims will get cured with its blessing by the grace of Allah Almighty, and the healthy ones will stay hale and hearty.