zaitoon ke tail ke fawaid
How You Can Get Beautiful Skin With Just Olive Oil:
Winter mein chehre ki jild aur baal khushki se kafi mutasir ho jate hein jis ke bai's skin rookhi aur baal be jaan se lagne lagte hein taham in masail se chutkare ke liye olive oil ka istemal intahai mufeed ha.
Olive Oil For Hair: Khushk mosam mein balon ki chamak kam hone lagti ha aur sath hi baal kamzor hona shru ho jate hein, zaitoon ka tel na sirf hair shining mein izafa karta ha balke balon ki jaron ko bhi mazboot karta ha. Shampoo karne se 2 hours qabal balon mein olive oil massage karein aur phir garam towel mein balon ko lapet lein, shampoo ke baad balon mein chamak aur mazbooti wazeh tor pr nazar aaye gi.
Olive Oil As A Makeup Remover: Zaitoon ka tial qudrati makeup remover ke tarah kaam karta ha, ye wipes ke muqablay mein ziyada faidamand aur jild ke liye behtar hota ha, khaas tor par eye makeup ko hatane ke liye behtareen ha aur sath hi chehre ki rangat bhi mand parne se bachata ha.
Olive Oil For Acne Scars Overnight: Pollution ki waja se chehre par aksar keel muhase ho jae hein, jo men and women dono hi ke liye pareshani ka bai's bante hein. Expert ke mutabiq zaitoon ke tel mein salt mila kar paste banayen aur ise face par laga kar halka sa massage kar lein, phir ise neem garam pani se wash kar lein to ye acne kam karne mein kafi helpful hoga.
Olive Oil For Nails: Nail polish ko kasrat se istemal karne par nail ki chamak kam ho jati ha, is soorate haal mein olive oil ka istemal kafi moassar sabit hota ha. Agar nail polish ko mitane ke baad kuch dair nail pr zaitoon ke tel lagaya jaye to nakhun ki chamak barqarar rahe gi aur wo pehlay se ziyada dilkash beaity ho jayengay.
1. Massaging the body with olive oil is
believed to strengthen it.
2.
It can
alleviate joint discomfort and is considered an effective remedy for sciatica.
3.
When mixed
into ointments, olive oil aids in the healing of wounds.
4.
It is deemed
highly effective for treating persistent sores.
5.
Olive oil
helps in alleviating acidity.
6.
It serves as
a healing agent for stomach ulcers and may help prevent stomach cancer.
7.
Consuming
olive oil on an empty stomach acts as a remedy for stomach ailments.
8.
It addresses
skin dryness and is beneficial for conditions like psoriasis and dry scalp.
9.
Olive oil is
considered an excellent treatment for various respiratory ailments, including
asthma.
10. It enhances the body's defense against
illnesses like influenza and pneumonia.
I like it Zaitoon oil
ReplyDeletezaitoon ka teel aise hi khayngee?
ReplyDeleteZaitoon ke oil se malish karein or Khanay mein zaitoon ka oil use karein.
Deletebahot faida mand hai aaj se maine use karna shuru kardiya hai
ReplyDeleteIt's God gifted....
ReplyDeleteHair fall k liye ye oil use kar sakty hain
ReplyDeleteBilkul kar saktey ho, aur is teyl ki khasiyat yeah hai isko 2,3 hazaar saal bhi khula rakhkha jaye na yeah kharab hota hai, aur na chuntiyan lagti hai
Deletezaitoon ka oil hair fall k liye use kar sakty hain kiya
ReplyDeleteHan kar sakte hein.
Deletei m using it already coz i m facing hairfall problem, but koi frk nhi pd rha. yha btaya gya h k zaitun k tel se baal mazbut hote h, mai ise 1 saal se use kr rhi hu. haan magar bdn ki khushki k liye ye faydemnd sabit hua h..
ReplyDeleteOkay I try it after reading much benefits...
ReplyDeleteArq Un Nisa keliye kaise use karein?
ReplyDeleteMalish Karein
Delete