Lehsan Ke Fawaid

Lehsan Ke Fawaid

lehsan ke fawaid in urdu
lehsan ke faide,
lehsun ke fayde,
garlic benefits in urdu

Lehsan khane ko zaiqa bakhshta hai.
Lehsun diabetes, asthma, high blood pressure or joints pain mein mufeed hai.
Tabkheer maida ke liye akseer hai, kharish ko door karta hai.
Motapa door karne ke liye mufeed hai.
Lehsan ke use se cancer se mehfooz rehne mein madad milti hai.

Mosam e sarma mein body ko garam rakhta hai or sehat ko qaim rakhta hai. Lehsan ko aam tor par anar dana, podina or adrak ke sath kondi danday mein ragar kar or baqadar munasib namak mila kar basoorat chatni use kartay hein.
Pait ke keeron ko marne ke liye lehsun akseer ka kaam deta hai. Jin dino is ka use kiya jaye. In dino munaqqa ya honey ke sath din mein 3 bar lehsan ko use karna chahiye, lehsan ko jab ham kat'tay hein to is ki 20 22 girya alag alag ho jati hein inhen cheel kar 5 giri chotay chotay tukro mein kaat kar 15 20 munaqqa ke dano ya honey ke sath kha lena chahiye.
Lehsan ka pani lagane se lices halak ho jati hein. Garam mizaj wale lehsan use karein to ye piyas paida karti hai. Magar balghami mizaj walo ko ye khane se piyas mehsoos nahi hoti. Lehsun khane se body mein quwat paida hoti hai or ye khoorak ko jald hazam kar deta hai. Resha or laqwa wale mareez lehsan ka ziyada use karein to is marz se nijat pa saktay hein. Scorpion agar dank mare to ise khane se shifa hasil hoti hai.
Pait may pani par jane or khansi ke amraz ke liye behad mufeed hai. Lehsan khane se blood pressure me mareez ko faida hasil  hota  hai. Ise khane se awaz saaf ho jati hai or gala saaf ho jata hai. Wo aurat jis ka haiz band ho use khoorak ke tor par lehsan use karwayen to haiz khul jata hai. Body mein garmi paida karne ke liye ise sardi ke mosam mein use karna bohat behtar hai.



17 comments:

  1. Mujhe high bp hae,maen lahsan ka istemaal karna chahta hoon,rozaana kitni lahsan khana chahiye, aor kiswaqt khaen, meri Umar 49 saal hae.

    ReplyDelete
    Replies
    1. For high blood pressure, take one clove of garlic each morning.

      Delete
  2. Bad company ki Wajah se Meny 14 years se musht zani start kr di thi aur mein tab bohat mota tha aur mera color b white tha....ab meri age 16 years hai aur mein bohat patla hu aur colour b black ho gaya hai aur apni umer se bara bara lagta hu....... Yu mehsoos hota hai k ye sab musht zani ka nuqsaanat hain lekin Alhamdillah meny musht zani chor di hai.....
    Plz plz koi esi diet bta dein k mein apni asli halat mein waapis aa jau...color b white ho jaye aur mota b ho jau....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap musht zani bilkul chor dein or abhi sardiyan hein to daily doodh mein khalis shehad mila kr piyen or khajoor or injeer ka istemal bhi karein Insha Allah aap ki age ziyada nahi hai aap recover ho jayengay.

      Delete
  3. kia lehsun khany k baad namas ar darood sharif par skty hn.kindly answer if someone know islamic point of view.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mujy balchar Ki disease ha aur saary baal gir gaye gain Kia subhu nihar monh lehsan khany se theek ho jaye ga..??

      Delete
    2. Roghan e baiza mrugh (Anday ka tail) thori si taway ki siyahi mein mila kar baalchar wali jaga par malye, ye amal din mein 3 se 4 martaba kijiye, chand dino mein baal nikal aayengay, garam or tursh ashya se perhez kijiye.

      Delete
  4. Mere Complete left sholder aur left arm aur heart side buht takleef hote hai koi bata sakta hai ye kyon hote hai please aur mere age 25 years hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mehboob sahb ap apna cholesterol check karwayen or heart k doctors sey cheak up karwayen

      Delete
  5. Kia lehsn khany sy hath paion ma jhal hoti ha

    ReplyDelete
  6. Mera blood pressure Thora zida rehta hae Kya ma lasen use Karun,my age is 37.

    ReplyDelete
  7. Ma ajsy 3 year pehly mota aur white couler tha lakin. Ab bht dhubla ptla sa aur. Couler be black ho Chuka ha. Mery maidy ma aksar jlan rhti ha.

    ReplyDelete