Aloe Vera Ke Fawaid
benefits of aloe vera
aloe vera jild ki hifazat ke liye
Qudrat ne is dunya mein anwa w iqsam ki jari bootia or plants paida kiye hein jin mein mukhtalif diseases se shifa mojood hai. Aloe Vera bhi 1 awsa hi poda hai jo apne andar tibbi fawaid ka khazana rakhta hai. Punjab mein ise kora gandal kehtay hein.
Eunani, Roman, Italwi, Roosi or Francisi zaban mein ise Aloe Vera kehtay hein. Europe mein ise plant ke tibbi fawaid janne ke liye bohat si tehqiqat ki gai or Aloe Vera ko jild par lagane ke bohat se fawad samne aaye hein. Agar hath jal jaye to foran is ka gooda lagane se jalan khatam ho jati hai. Expert Tib ne is plant ke luaab se banaye gaye 1 hydrogen par research ki to maloom huwa ki ye mouth ulcer mein bohat mufeed hai.
Different creams ke use se chehre ki jild kharab ho jati hai or be ronaq bhi Aloe Vera ke use se na sirf aap ki jild jawan rehti hai balkay aap ke husan ko bhi 4 chaand lag jate hein. Is ke liye Aloe Vera ka gooda din mein 2 martaba lagayen or dry hone par moo wash kar lein.
No comments:
Post a Comment