Mardana Kamzori Ke Liye Desi Nuskhe
mardana kamzori ka ilaj in urdu
Ingredients:
Maghz badam 10 adad, Ilaichi 2 adad, Chuhara 2 adad
Tarkeeb Tayyari:
Teeno cheezon ko raat ko mitti ke koray bartan mein bhigo rakhein subah nikal kar maghz badam ko cheel kein, ilacihi ka chilka juda karein, chuhare ki ghutli nikal dein teeno cheezo ko pathar ki sil par ya kondi mein itna bareek karein ke makhan ki tarah mulaim ho jaye. Ab 50 gram misri mila kr chand minute tak ghot kar yakjan kar lein is ke baad in sab cheezon ko gaye ya bhens ke 50 gram makhan mein mila kar chaat lein.
Fawaid:
Zard or mujhaye hue chehre is ke use se chand hi dino mein surkh ho jate hein. Laghar sukhe hue jism bhi chand hi hafto mein sar sabzo shadab ho jate hein, dimaghi kaam karne walo ke liye bhi is se behtar koi ghiza nahi hai, pichke hue gaal theek ho jate hein, mardana taqat mein be panah izafa karta hai. Ye nuskha banayen or khushgawar zindagi guzarein.
No comments:
Post a Comment