Rizq Ki Farakhi Ki Dua
A Allah! Ae hamare Rab! Hum par asman se khane ka dastar khuwan nazil farma jo hamare aglon pichlon ki Eid ho or Teri qudrat ki nishani ho or hamein rozi de, tu hi behtareen rozi dene wala hai. (Surah Al Maidah 114)
Yeh Dua Hazrat Isa (A.S) ne rizq ki kushadgi ke liye bari aajzi or inkasari ke sath mangi to Allah Ta'la ne qabool farmai.
Asalamualaikum Hazrat, Meri bohat sari karzdari hai and mein jo kamai kar ke mahine mein ek baar jo salary milti wo saara paisa baas(interest) mein nikal jata hai jitna bhi kamao phir bhi kam pad jate hai, aur meri bi nayi shaadi huyi ha baar baar meri tabiyat bi kharab hojati hai, muje aisa kuch strong wazifa batao ki muje koi musibat mushkilat naa aaye aur meri karazdari se nijaat mil jaye muje.
ReplyDeleteThank you.
Wa Alaikum Assalam!
Delete1 Sahabi (R.A) khidmate Aqdas Peace Be Upon Him mein hazir huwe or arz ki: Ya Rasool Allah Peace Be Upon Him dunya ne mujh se peeth pher li.
Farmaya: Kiya wo tasbeeh thumhen yaad nahi jo tasbeeh hai Malaika ki or jis ki barkat se rozi di jati hai. Khalq dunya aaye gi tere paas zaleel o khuwar ho kar, tuloo fajar ke sath so bar kaha kar "Subhan Allahi Wa Bihamdihi Subhan Allahil Azeem Wa Bihamdihi Astaghfirullah".
Un Sahabi ko 7 din guzre thay ke khidmate aqds mein hazir ho kar arz ki "Huzoor dunya mere paas is kasrat se aai, mein heran hoo ke kahan uthaoon, kahan rakhoon".
Qarz Say Nijat Or Har Mushkil K Hal K Liye
DeleteSurah Nasar Para # 30 mandarja zel tarteeb ke sath musalsal bila nagha or tadad ke mutabiq parhay kam ya ziyada na kare. Insha Allah Ta'la qarz se nijat or har mushkil hal hogi.
Baad Namaz-e-Fajar Surah Nasar 21 baar
Baad Namaz-e-Zohar Surah Nasar 22 baar
Baad Namaz-e-Asar Surah Nasar 23 baar
Baad Namaz-e-Maghrib Surah Nasar 24 baar
Baad Namaz-e-Isha Surah Nasar 25 baar
Ye dua hindi Mai kaise pade
ReplyDeleteYa dua kitne bar prdhni hai
ReplyDeleteKoi makhsoos tadad nahi hai jitni baar chahein aap parh sakte hein.
Delete