Sadqa Karne Ka Tarika

Sadqa Karne Ka Tarika In Urdusadqa karne ka tarika in urdu

Hazrat Abu Zar Ghaffari (R.A) kehte hein ke Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya: "Har Muslim admi par har din sadqa karna zaroori hai" Logo ne kaha "A Allah ke Rasool (P.B.U.H) hamare paas itna maal kahan he ke roz sadqa karein? Aap (P.B.U.H) ne farmaya ke sadqa karne or sawab hasil karne ke sources bohat hein (Sirf maal hi nahi). Subhan Allah, Alhamdulillah, Allah Hu Akbar or La Ilaha Illallah parhna bhi sadqa hai. Doosro ko naiki ki talqeen karna, gunaho se rokna, rasto se kate waghera hatana, kisi behre admi ko zor se bol kar apni baat sunani, andhe admi ki rehnumai yeh sab bhi sawab ke kaam hein. Admi ko is ke maqsad silsila mein rehnumai karna or museebat zado faryadi ki madad ke liye dorna bhi sadqa hai. Naiz kisi kamzor ke bojh ko jo is se na uthta ho use apne  hath ya sar par utha lena bhi sadqa kehlata hai. Upar ke tamam mazkoora kaam agar tum karo to maali sadqat ke barabar sawab mile ga.

104 comments:

  1. Sir maray sath ik masla ho gaya hai.main bohat majbor ho gaya tha.masla ya hai ka ami nay mujhay sadkay ka pasay diya tha masjid main danay kay liya .main danay hi ja raha tha bike panchar ho gi os per pasay ziada lag gay maray pass nahi tha itnay manay bohat minat ki ka bad main day don ga per who nahi mana phir majbor hi kar sadkay kay pason say os ko pasay diya.mujhay samajh nahi a rahi main an kaya karon plz mari help kar dain.shukriya

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mere husband ki job ni lag Rae halan ke army me major retired hn,jahan interview de k Atey h
      bulate ni

      Delete
    2. Agar koi shakhs rozgar ke silsilay mein pareshan ho ya amdani mein kami ki waja se guzara mushkil hota hai to is ke liye mandarja zel Asmaye Allah ba wuzu 1081 bar baad Namaz e Isha rozana parhe.

      Awal o aakhir 11, 11 bar Durood Shareef parhe. Ye amal bila nagha rozana waqt muqarrara par parhta rahe.
      Insha Allah Ta'la berozgar hai to rozgar ka intizam ho jaye ga aur rozgar mein barkat aur tarakki chahta ha to wo bhi hasil hogi. wo Ism ye ha Ya Basitu Ya Mujeebu Ya Allahu ha.

      Delete
  2. Aap ne jitne paisay sadqay ke paiso se kharach kiya ha wo utnay hi paisay aap sadqa kar dein.

    ReplyDelete
  3. Punchar agar 100ka laga hai or apnay sadqay kay paisay mai say 50 diyai hain tou ap 50 he again sadqa daydain or ami ko batadain apni .

    ReplyDelete
    Replies
    1. Assalamualaikum main ne Pochna that k Kisi or k name, jaisy koi azieez dost Yan koi apna door rehta ha to hum khud uska sadka daina chahty han ? To Kya idk name py day sakty han uska ilam main ayee begair? Islam main yeh Kaisa ha ?

      Delete
  4. Kya sadqa sirf sawab k liye hota hai? Ya phir ye anay wali museebat ko bhi taalta hai?

    ReplyDelete
  5. Sadaqa aane wali museebat ko bhi talta hai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Main nay bohat diyea! Meri nahi taliii! Koi chez bhe meray betay ko mauttt k munh main janay say na rok saki

      Delete
  6. Mery bety ka name Muhammad ahsan hain oss ko har wakat chot lagti hain par Allah ka lakh shukar hain bachat ho jati hain mai sadqa nekalti hon oss ka par kia seraf pesooo ka he sadqa hota hain ?ya mai kuch or b oss k nam ka sadqa kar sakti hon ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Paiso ke ilawa aap bakra/bakri, murgha/murghi, gosht waghera ka bhi sadaqa kar sakte hein.

      Delete
    2. To ye gosht waghera hm kis ko de skty hain ?

      Delete
    3. Ghareebon mein taqseem kar dein

      Delete
  7. mera masla ye ha k mn ider saudia mn job krta hon aur jab b ghar apni wife ko ye kehta hon k kuch pesey sadqa mn kisi ghareeb ko dey do to wife aagey apney ghar k kharchon ka rona shuru kr deti ha
    boht zayada samja chuka hon lekin uski naqis aqal mn ye baat nhi aati k sadqa sey kami nhi aati bal k izafa hi hita ha
    plz meri rehnumai fermaein k kaya kron

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar aap ki wife nahi karti to aap Saudi mein sadaqa kar diya karein.

      Delete
    2. Bhut khoob, aisi biwi ko sadqa kr ky new biwi ley ain

      Delete
    3. Business idea woh biwi hai maal nhi unhe samjhaye ihtemam se woh samajh jayenge

      Delete
  8. Sir main suodia gya tha aik sal bad wapsi ho jati h meri koi mali faida ni howa blky kaci nuqsan howa phir dubai gya to wahan b sal e lga kam bilkul b acha ni tha bri mjbori se sal lgaya visa k paisy pory kiye..sun'ny main ata h k mujh pr kisi ne kuch kiya h k main tarqi na kr sakon.blky main ghr bnany ki koshish kr raha hobn 13 sal se mehnt b ki h pr ghr ni bn raha paisy smj m e ni aa rahy k kya ho raha h..ap he kuch bta dain k kya kru main

    ReplyDelete
    Replies
    1. Subhan Allahi Wa Bihamdihi ko aap apna wird bana lein. Rozana jab bhi waqt milay 500 dafa in ka wird kar k Dua kar liya karein. Wazifa k shru mein Bismillah Sharif or Durod Sharif lazmi parhein.



      Delete
  9. Sir Mera Name Muhammad Waseem Hai Or Main Job Krta Hn jahan job krta hn wahan mery sy nuqsan ho jata hai or mahnat bhe krta hn us k bawajood mujhy meri mehnat ka sila nai milta or Rizq main barkt bhe nai hai

    ReplyDelete
  10. Subhan Allahi Wa Bihamdihi ko aap apna wird bana lein. Rozana jab bhi waqt milay 500 dafa in ka wird kar k Dua kar liya karein. Wazifa k shru mein Bismillah Sharif or Durod Sharif lazmi parhein.


    ReplyDelete
  11. Mujhe kisi aur ke naam se sadqa karna hai, paise mere hai but sadqa mai us ke liye karna chahtaa hoon. Kaise karoon??
    Plz batayein ki us bandey ko sadqe ka badlaa miley

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bohat asan ha Sadaqa karte waqt aap ki niyat us banday ki taraf se honi chahiye.

      Delete
  12. Sadqe ka gosht kahan phainkna chahye... Plx tel me

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sadqe ka gosht aap parindo ko khila dein.

      Delete
    2. Me aj mash ki dal or ande k sadke pe se guzar gai hun glti se plz me preshan ho gai hun ab kya krun pregnent hun me

      Delete
  13. ASSALAM. O ALIKUM
    sor mera name Ali hai..
    me 2 saalo se kosesh kr rha hu apna gat krne ka.. lakin nahi ho rha he apna gar nahk bana pa rha hu... mera chota hai.. busniess jis me se.. sirf mere salary he nilklti hai gat me akela kamane wala hu..mujhe gar zaror chayee me laga tar mehnat kr rha hu lakin samjh me nahi arha gar kese banow bhot preshan hu..plz help me ����

    ReplyDelete
  14. Sir kya sadke ke liye koi rakam mukarrar ki gYi he ya hum apne hisab se de sakte hai

    ReplyDelete
  15. Sir kindly help me.. mera 1 bht bara masla tha to main ny niyyat ki thi k jb wo solve ho jye ga to main fula cheez cheez sadka kru ga..mera wo masla solve hogya but wo sadka main ni kr ska..mera wohi masla kch din bd pehly sy b double hogya..mjhy ye bta den k main ny sadky ki jo niyyat ki thi wahi sadka kru ya phir us k equal raqam sadka kr du???

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jis cheez ki niyat ki thi wohi Sadqa karein.

      Delete
  16. Sir main ne sadqa kia thori si sugur keeron ki jagah rakh aya phir agly din main ne ja kar dheka k keeron ne sugur (cheeni) apni bilon main lay gaye kia aisa karna thik tha ? kia mujhy waha nahi jana chahye tha jaha sadqa ki koi chees rakh k aye ho??? koi masla to nahi lykin us ko dhakhny k bad sar main dard hua sham ko halka sa bukhar mehsoos hua main .... plzzz kuch bata day kia karu

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ye aap ka weham ha.
      Aap ne jakar dekha is mein koi masla nahi ha is ke ilawa aap parindo ko dana bhi daal sakte hein.

      Delete
  17. Aalamoalikum
    Sir kya ye darust tareeqa hy k sadqay k paisy nikal k aik side mein rakhy jaen or 2-3 months mein kisi ko bhejy jaen,keun k main Pakistan mein nhi rehti

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa Alaikum Assalam!

      Ji aap is tarah bhi kar sakti hein aur Sadqa aap jab chahein nikal sakti hein.

      Delete
  18. Assalam o alaikum..
    Mujhy ye malum kerna hai k kia kisi k lie ghaibana tor per sadqa kia ja sakta hai ya paise ya gosht waarna lazmi hai us se jis k nam ka sadqa krna hai?? Mera matlab hai k me apne baitay ki niyat se sadqa karna chahta hun.. Lkn me dubai hota hun or mera beta pakistan mein.. To kia me yha se koi bakra ya gosht sadqa ker dun uski niyat se ya phir pak mein kisi se kahun k usk sar se gosht waar den ta k uski balayen tal jayen

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa Alaikum Assalam!

      Bilkul kar sakte hein aap apnay betay ki niyat se Sadaqa.
      gosht ya paisay waghera waarna lazmi nahi ha bus niyat honi chahiye.

      Delete
    2. Assalamualaikum Sir menay kisi ka sadqa dena hy peso ye chez MTlb tofiya ka dy sktay Jo baccho my taqseem kr di jaay?plz btaay

      Delete
    3. Bachon mein tofiya taqseem na karein Sadqa kisi zaroorat mand ko dein

      Delete
  19. Asslam o Alaikum
    sir plz ya bata dyn k kya sadky ka gosht ghar ki chhat py phenk skty hain kya?? jinho ny sadka deny ko bola unho nay kaha ghr ki chhat py phenk dyn plz batyn kya sahi hai ya ... ya phir kya tarika hona chahiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa Alaikum Assalam!

      Chat par aesi jaga par rakhein jahan se cheel kaway asani se kha sakein.

      Delete
  20. Assalam o alaikum,
    Sir main shadi shuda hoon aur 4 bache hain mere 10 saal main ne buhut muhabbat se guzaare hain aur ab bhi buhut pyaar karta hoon apni family se magar 2017 k start se aik larki se hamdardi aur pyaar ho gaya aur itni gahrai main chala gaya k kuch socha bhi nahi ab ab shadi nahi karta tu us se ghalat karta hoon aur agar shadi karta hoon to apna ghar ka bachoo ka dar lagta hai main ne pyaar se samjha k ijaazat bhi maangi magar wo kehti hai k ijazat dedogi magar mere sath koi taluq nahi hoga bas ghara ana jana karna apne bacho k paas main buhut pareshan ho gaya hoon aik taraf sab kehte hain k us larki ne jaan bojh k tumko phansaya hai par main us ki taraf nahi dekhta ghalti tu meri khud ki hi hai par mere dil main Allah ne hamdardi aur muhabbat buhut zaydada barha di hai us se main kisi k paas nahi jana chahta sadqa karna chahta bas mjhe koi sadqa bata dain sahe tareeqe ka phir agar ye sab tal gaya tu thik warna main karloga shadi.
    Please advise.

    ReplyDelete
  21. Asslamualeykum Mera name Haider ali he aur kuch dino see mujh par bhot si musibate aa rhi he kabhi lag jaati he kbhi kuch ho jaata he to mujhe kisi ne sadka dene ki baat kahi he meherbani krke aap bta sakte h ki sadka kitna Diya jaata h kitna gosh ya kitne pese diye jaate h

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa Alaikum Assalam!

      Sadaqa ki koi limit nahi hoti aap jitna chahein apni hesiyat ke mutabiq kar sakte hein.

      Delete
  22. Sadqa roz kia nikale or roz sadqa k paise kaise kharch karun...

    ReplyDelete
  23. Assalamualaikum....sir/ Mam...meri mummy ki kuch tabiyt khrab h,to unko bakri ka sadqa krne k liye btaya gya h...
    Plz yh btadiye ke is trha ka sadqa krne k liye kya koi dua bhi padhi jati h ? Ya sirf niyat krke sadqa de Dein?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa Alaikum Assalam!

      Sirf niyat honi chahiye.

      Delete
  24. Salaam min rozana sadqay k paisey alag karta hoon aur malcom ye karna hai k sadqay ki ye amount kis ko deni chaye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa Alaikum Assalam!

      Sadaqa ke paisay aap kisi bhi mustahiq jo aap ke khandaan mein ho ya parosi mein ho ya koi bhi mustahiq ho usay day sakte hein.

      Is ke ilawa aap sadaqa ke paisay kisi Madarsay mein bhi day sakte hein.

      Delete
    2. Jis shaks ko sadqa dya Jaye Kya use ye batana zaroory ha k ye sadqe k paise Hain .agr koi zaroorat mand shaks Mana kare k sadqa NH chye to hum Bina batye sadqe k paiso c uski madad karsakte Hain ??

      Delete
  25. Salam sir me roz thore sadqe k paise apne ghar me hi box me jama kerta hun ta k mahina do mahina me achhi raqam jama ho jae jis kisi ka sahi kaam ho sake aisa kerne me ya sadqe k paise ya kheraat k paise ghar me itne time tak rakhne me koi masla to nahi he plzzz jaldi aur zaroor jawab den

    ReplyDelete
  26. salm.kia apny he ghr me sadqy ka gosht pehnk skty hen.is se koi masla to ni hota.plz reply zaror kryn

    ReplyDelete
    Replies
    1. Phenkne se kiya murad ha
      Chat mein gosht dalna waghera cheel kawwon ya billi ke liye?

      Delete
  27. Sir mai job krti hoon shadi shuda hoon. Mere parents k maali halat theek nhi.bhaion ki job nhi hai.2 behne ghair shadi shuda hain makan k keraya k paise bhi nhi hote.isliye mai apni taraf se hr mumkin maali madad ki koshish krti hoon.kia Yeh sadqey mai aata hai? Kionkeh aksr mere pass kisi aur ghreeb ko dene k liye kch nhi bachta

    ReplyDelete
  28. AoA mn apny aik uncle ki traf sy sadka krna chahti hon unhain btay bina kia is trah ho skta?h

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap apne uncle ki taraf se Sadaqa kar sakti hein bus sadqa karte waqt aap ki niyat honi chahiye ke mein uncle ke taraf se sadaqa kar rahi hoo.

      Delete
    2. Aoa sir mere Abu foth ho chuke he UN ki naam pe sadqa kar sakti hu

      Delete
  29. Ya jo sadka dy zruri h apni jaib sy dy?plz guide me

    ReplyDelete
  30. Assalam o alikum.. mai kal sbha ghlti se sadkay ke dal se guzr gae hon r meri legs mai teesay uth rae painkiller b use ke kal se but 1% b aram nai a rhaaa mai bht pryshn hon

    ReplyDelete
  31. Asslam o alikum mje ap se puchna tha k sadqa denay ki niyat kesay krtay hain aur agr paisay ya koi cheez sadqa ki jati hai to us ko hath lgana zrori hota hai ya sirf dil main sadqa ki niyat kr lena hi kafi hota hai plz jwab de dain mje.....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sadaqa karne ke liye hath lagana zaroori nahi hota.
      Sadaqa karne ki koi niyat nahi hai bus dil mein niyat honi chahiye.

      Delete
  32. Asalam-o-alikum.. sir koi patient icu me ho ounka sadqa nikalna hai Hume tu kese nikale hum.. means hum koi bakra, murgha etc tu ICU me nahi le ja sake.. aur hume sadqa kisi janwar ka hi Dena hai it's compulsory.. how can we do it?

    ReplyDelete
  33. Asalam-o-alikum.. sir koi patient icu me ho ounka sadqa nikalna hai Hume tu kese nikale hum.. means hum koi bakra, murgha etc tu ICU me nahi le ja sake.. aur hume sadqa kisi janwar ka hi Dena hai it's compulsory.. how can we do it?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa Alaikum Assalam!

      Sadaqa ke liye Bakra Ya Murgha waghera ICU mein le jane ki zaroorat nahi hai sirf niyat honi chahiye ke falan shakhs ke liye Sadaqa kar rahein hein.

      Aur janwar ka sadaqa dena compulsory nahi hai aap mutasira shakhs ke liye kuch raqam bhi sadaqa kar sakte hein.

      Delete
  34. Me saudia me hn or sadqa krna chahta hn kese krn
    اَلسَلامُ عَÙ„َÙŠْÙƒُÙ… ÙˆَرَØ­ْÙ…َØ©ُ اَللهِ ÙˆَبَرَكاتُÙ‡ُ‎

    ReplyDelete
  35. Asalam o Alaikum..!
    Mjhy yeh janna tha k kya koi bnda dosry bndy ka sadqa dy skta hai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa Alaikum Assalam!
      Haan day sakta hai.

      Delete
  36. Aoa mera aik masla ha.. kya asa hosakta ha k ap ny aik jora apny lia bnaya ho lakin ap kisi waja sy usay na phen paa rey hon.. r ap niyat kr dn k m isay kisi ko day donge r jo is ki jaga sadqay k paisy hongy woh m rakh k apna bna longe.. suit bilkul naya mehnga r aik br n istamal
    Nae hua ho.. kya asa kr sakty hn?

    ReplyDelete
  37. Salam sir koi b wazifa complt karne k bad wo wazifa pura ho allah pak dua qabool karein tou us ki taraf se sadqa karsakty hain ??? Or wo sadqe ka gosht hm apni chat pe parindo ko khila sakty hain koi masla tou nh hai ye batadein kisi ne kaha h k apni chat pe nh dalsakty hain pls mujhe jal az jal bataein mene gosht manga lia h

    ReplyDelete
  38. Salam sir koi wazifa Kia ho us ko cmplt Karne k bad us ki tarf se sadqa Karna chahrahi hun gosht mangwalia h tou Kia wo apne ghr ki chat pe dal sakty hain parindo ko ya nh kisi ne kaha h apne ghr ki chat pe na dalein pls batadein

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wazifa complete karne ke baad sadaqa karna zaroori nahi hai lekin agar mannat mangi ha to wo karni hogi.
      Sadaqa ke liye aap gosht chat par daal sakte hein.

      Delete
  39. Asalamualailum Meri Nani Amma.ki taraf se aik sawal hai..Unka 1 beta tha 9 saal ka usne channy bantny ka kaha tha lkn nani ama nahi bant saki reason thi unki beti ko chicken pox thy wahan busy thi keh skty k yaad nahi raha or sham ko hi unka beta patang khelty huye chat se girya sunday din tha or 1 ghnty kain unki death ho gai.. uske baad nani ka dosra beta paida hua wo bhi 10 saal.ka tha ghr betha tha cold drink leny bahir gaya sab thehry thy lkn dewar sirf us pr gi gai or 3 din main unki bhi death ho gai or tab bhi sunday tha jab dewar giri thi ..ye bht pehle ki baat hai bss nani maa ko nahi bholti or aj unhon ne kaha k poch kr btao ..wo bht pareeshan hai k kia mamla hai ..or aik or baat unko molvi ne kha tha Thursday ko sadqah nikala karo unko yaad nahi rehta ..kisi or din yaad a jata hai thursday ko yaad nahi rehta ..wo pochna chhati hain k aisa q hai ? unka koi gunnah aisa to nahi hai jiski maafi nahi hui ya kuch aisa ..koi bta de kindly ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa Alaikum Assalam!

      Sadaqa agar thrusday ko nikalna yaad nahi rehta to jis din yaad aa jaye us din nikal diya karein.

      Allah Ta'la maaf karne wala ha apnay gunaho ki maafi mangte raha karein.

      Delete
  40. Kaly maah ka sadqa kesa hota hy or kia faida hy iska kia yeh bimari ko talta hy??

    ReplyDelete
  41. Kaly maah ka sadqa kesa hy??kia yeh bimari ko talta hy??

    ReplyDelete
  42. A.o.A sir
    Kisi ne mere ghar ki chat per gosht k bohat bare bare tukdy phainky hen.. Ye amal kis liye kiya jata hai?

    ReplyDelete
  43. Kia me sadqa Ghar me rakh sakti hun phir ek sath kisi faqeer ko dedon ??
    Bina kisi faqeer se bat kye ?? Month k end me dedon ?? Sadqa rooz ka count hoga ya usi din ka jisdin dungi

    ReplyDelete
  44. Kia sadqey ka gosht gareebon me bant sakte Hain?

    ReplyDelete
  45. Assalamu Alaikum. Jaan ka sadaqua me diya gaya janwar ka goshth kha sakte hai???

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa Alaikum Assalam!

      Agar jaan ka sadaqa se murad aqeeqah ha to kha sakte hein warna nahi kha sakte.

      Delete
  46. A. O. A
    Sir.meri engagement hui h kya m apni hony vali b.v Sy bat kr skta hu?? agr nahi to kya mujhy koi hadees mil sakti h jis Sy vo b samjh saky and m b

    ReplyDelete
  47. Aoa!! Sir din k hisab sy sadqay kasy dia jye

    ReplyDelete
  48. Kya sadqa detay waqt yeh bolna zaruri hai k yeh sadqa hai

    ReplyDelete
  49. Aoa sir Maine puchna tha kalay mash ka sadka da sktay kya ....? parindo ko dal stay. ? mri sis pregant h wo america hty ab udar pasay dna aur meat dana ziada possible nae usky alwa wo KS chez ka sadka da skti.plz bta dain

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sadqa ke bohat se tarike hein jese aap kisi hospital mein wheel chair day sakte hein apni behan ki taraf se sadaqa ke tor par ya Majid mein thanday pani ka electric cooler lagwa sakte hein.
      Parindo ko meat dalne se behtar hai aap kisi zaroorat mand ko paise day dein.

      Delete
  50. sir ! im syed babar raza
    mera ek sawal hai keh agar me kisi k nam ka sadqa dena chahu apny kisi dost k nam ka toh jiss insan ko sadqay ki raqam du ga uskay liye kia sharait hain k woh sadqa leny ka haqdar ho or kia sadqa ki raqam dety huay mujhe ye bat kehni chahiye k ye sadqa ha

    ReplyDelete
  51. Agr ghr mein koi naie cheez li ho jo expensive ho to kya us k naam ka sadka, ya phir wo kharab na ho is khatir sadka kr sakty hain ??

    ReplyDelete
  52. Asalam alaikum sir meri shadi k 3 sal hogye hn or jb bhi hamal hota h hamal m growth nhi hoti na dharkan ati h sb doctors k dekha lia koi masla samj nhi rha he sb koi na koi bt krty h or is waja se mere 4 hamal hue or kesi m dharkan nhi ai ap mujhy kuch btye aghr m aulad paida hone kye liye sadqa ki neyat krun tu kia ye sahi hoga

    ReplyDelete
  53. Cheel agr ghr ki trf dkh k awaz nkaly daily or uss ghr k kisi member pa hamla kary tu kia karna chaiye

    ReplyDelete
  54. Assalamwalekum
    Meri tabiyet achi nai raheti, air mai kaam karti hun aur mere kami mai bhi barakat nai hai ..
    Please mujhe guide karu...

    ReplyDelete
  55. Salaam sir ,kiya main sake k paise sae apne mamu ki car teak karwa sakta hn Q k wo bikul safeed posh us k 4 bache hain koi zaraya amdan ny ha bus ek car ha suzuki type wo b hum brother nain lae kar day thi ,muje bus clear kar dien main sadke k paise sae is ka kam karwa sakta hn

    ReplyDelete
  56. Assalamualaikum
    Agar koi muht qarzay main phansa ho tou kya wo ksi k site hue sadqe k peson ko use ker sakta ha? Isla koi issue tou nai. Mean koi agar maqrooz ho tou kya wo sadqa le sakta ha?

    ReplyDelete
  57. Assalam-o-Alaikum!
    meray husband ka poultry shed h. Wahan p koe beemari agae h. Bhtt morality ho rahe h. Bhtt zada loss ho raha h. Unhain kia karna chahea. Please guide kar dain achy say. ALLAH PAK karam karain ap sb p.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Rozi or rizq ki bandish chahay kala jadu se ho, sifli se ho ya kisi ki buri nazar se, is ke ilaj ke liye husband par direct parh kar yeh Ayaat 7 din tak dam karein or pani par dam kar ke pilayen or poultry shed ke deewaron mein or kono mein chirkein.

      Surah Isra'a : Ayat : 30
      Surah Zariyat : Ayat : 22-23
      Surah Fatir : Ayat : 2
      Surah Duha Complete

      Delete
  58. Ghar banana ke waqt sadqua karna kaisa hai

    ReplyDelete
  59. meri dili khawish h ke meri goverment job to aap bata sakte h eske liye kya kare jo govrment job lag jaye meri

    ReplyDelete