Jiss kisi nojawan larka ya larki ki shadi ka bundobast nahi hota yani kharch nahi ya marzi ke mutabiq sathi nahi milta. Shadi me har qisam ki rukawat keliye larki ya larke ke parents me se koi aik shaks raat ko 2 baje uthay wuzu kar ke 2 rakat nafal hajat ki niyat se parhe aur apne matlab ko dil me rakh ker 823 dafa ” Ya Khabeeru ” يا خبير parhe aur apne maqsad keliye dua kare. Insha Allah boht jald bundobust ho jayega. Kamil yaqeen shart hai.
ye amal larki khud ker sakty hai? mai khud raat ko oth k parhu or apny shady k leye dua karu. bcoz mere parents nae kare gae.
ReplyDeleteJi aap khud bhi kar sakti hein.
ReplyDeleteAsalam - 0-Alaikum
DeleteKia larki hi behan kar skhti hai yah wird YAH KHABEERO ka
Main apni sister ky lye karna chahti hon
Wa Alaikum Assalam!
DeleteJi aap apni sister ke liye kar sakti hein
Ap tamam logu se guzarish hai mery please mere leye dua kare mai ye amal ker rahi hon 11 din ho gae hai. Allah tala mery sun le. mai bohat pareshan hon mery age 38 years hai or mai salman mubeen se shady kerna chahety hon. salman b razi thi pata nae q un ka mind change ho gaya. allah tala is amal se mery sun le or salman or mery shady ho jae ameen.
ReplyDeletedear alll staff an my bro an sis
ReplyDeleteya khabeero is real wird
jiski jo bi problems hogi InsALLAH zaroor puri hogi
sirf 7 bar parh kr jo dua mangi jaye qabool ho gi
asifrasool71@yahoo.com
Ya khabro just 7 bar parna h?
DeleteYa 7 din tk?
Salam. Last year mere bt pke hwe r phr khtm hogae. R ab ma chahti ho mere Jald shadi hojay . Mjy koe wazefa btady.
ReplyDeleteWa Alaikum Assalam
ReplyDeleteVisit
http://www.islamiwazaif.com/2012/09/rishtay-k-liye-wazifa.html
http://www.islamiwazaif.com/2014/10/shadi-mein-rukawat-ka-amal.html
http://www.islamiwazaif.com/2010/08/jis-aurat-ki-shadi-na-hoti-ho.html
Agar ma yr above wazifa krlo?
ReplyDeleteAap ye Wazaif kar sakti hein.
DeleteKitne din tak parna he wazifa
ReplyDeleteKoi time period nahi aap ye amal start karein Insha Allah bohat jald bandubast ho jayega.
DeleteMeri eik sis muj se bari h n she is24 n me 22 dono ki kahi bat nahi paki hti..rishta ata h n chalay jatay..mery baray me to parents souchtu b ni abi wo bs bari sis k lie deakhty..BT koi rishta ni hoya plzzzzzuj koi wazifa brain k me krun n hm dono ki ho jae..coz me 23 ki ho jaun gi 2017 me n wo 25 ki
ReplyDeleteArabi mahine ke start ke pehle 15 dino me juma ke din start karien behtar yahi hai ke pehle juma ko start kiya jaye. Pehle juma ke din me 21 dafa Surah juma parhain aur start aur end me 11 dafa Durood Sharif parhain aur Allah se achay Rishte ki dua karain aur aisa 3 Juma tak karain.
DeleteRat 2 bjy ka tima fix h ya kisi b time uth kr kr sakty hn??
ReplyDeleteTime fix nahi ha. Lekin Fajar se pehlay karein.
ReplyDeleteSir ager rat ko 12 bjy sony sy phly ye wazeefa kr len to thk rahy ga???
ReplyDeleteNahi 2 baje ya Fajar se pehlay tak ye Wazifa karein.
DeleteYe b bta den ye wazeefa kitny din krna h???
ReplyDeleteTa Husool-e-maqsad
DeleteSir mera name noshi h umer 36 Saal lakin rishta ni hota pls Kohi wird bata dain.....
ReplyDeleteJo larka ya larki apni hesiyat or qabliyat ke aetabar se hasb-e-munsha shadi karna chahay to darj bala Ayaat (Surah Al Imran 73-74) ko subah ki Namaz ke baad 61 martaba, Zohar ki Namaz ke baad 71 martab, Asar ki Namaz ke baad 81 martaba, Maghrib ki Namaz ke baad 91 martaba or Isha ki Namaz ke baad 101 martaba parhay.
DeleteAsalam - 0-Alaikum
ReplyDeleteKia larki ki behan bhi kar skhti hai yah wird YAH KHABEERO ka
Mein apni sister ke lye karna chahti hon
Wa Alaikum Assalam!
DeleteLarki ki behan bhi ye amal kar sakti ha.
Hello. Meri age 37. Hum sub kuch kar or par chuke he. Still no shaadi!
ReplyDeleteJis ka rishta hona ho chahay larka ho ya larki us ke weight ke barabar rice aabi makhlooq par sadqa karna ha. Sab se behtar samundar phir darya chand months mein rishta ho jayega or dast ghaib se rishta ke intazamat bhi ho jayengay. Insha Allah
DeleteAssalam alikum ...bhai apne juma se juma tak ke ...surah juma padhnr ke liye bataya hai ...to time bata diye kis time tak ke padh sakte hain roz yani koi time hai yeh koi bhi waqt padh len plzz jaldi bata diye
ReplyDeleteWa Alaikum Assalam!
DeleteKisi bhi time parh sakte hein.