Behoshi Or Fot Shuda Namazo K Baray May
Question: Agar koi admi hospital mein musalsal 2 din behosh raha to kiya hosh aane ke baad usay fot shuda Namazein parhna hongi, Quran o Hadees ke mutabiq iski wazahat karein?
Answer: Shaoor gum hone ki soorat mein insan ke zimmay mali huqooq saqit nahi hotay lekin badani ibadat maslan Namaz or Roza waghera saqit ho jatay hein albatta hosh aane ke baad Ramzan ke rozon ki qaza wajib hogi lekin Namazo ki adaigi is ke zimmay nahi hai kiyounke yeh soye huway shakhs ki tarah nahi hai k wo jab bedar ho to fot shuda Namazo ko ada karay. Is liye ke soe huway shakhs mein idrak hota hai agar usay bedar kiya jaye to wo bedar ho sakta hai lekin behoshi mein mubtala insan ko agar bedar kia jaye to wo bedar nahi ho sakta, behosh insan ki bot shuda Namazo ke mutaliq Ahle Ilm ke 2 qol hein:
Ahle Ilm ka moaqqaf hai ke behoshi ke doran reh jane wali namazon ki qaza us ke zimmay nahi hai chunachay Hazrat Ibne Umar (R.A) par 1 raat behoshi tari rahi to unho ne us doran fot hone wali Namazo ki qaza nahi di thi.
Kuch ahle ilm ka moaqqaf hai ke behosh admi apni fot shuda Namazein ada karne ka paband hai wo is silsila mein Hazrat Ammar bin Yasir (R.A) ka amal pesh karte hein ke in par 1 din or 1 raat behoshi tari rahi to unho ne hosh mein aane ke baad fot hone wali Namazo ki qaza di thi.
No comments:
Post a Comment