Apple Benefits In Urdu
Saib 1 nihayat sehat afza ghiza or nihayat taqat bakhsh dawa hai. Is ke mutawatar use se sehat o shabab mein char chand lag jatay hein. Rozana nihar moo 3 4 saib kha kar upar se milk piya jaye to 1 2 month mein hi sehat qabil rashk ban jati hai. Jild ka rang o roghan nikhar aata hai. Chahre par surkhi ke lehar aa jati hai. In short youn kehna chahiye ke is ghiza se wo tamam fawaid hasil ho jatay hein jin ka zikar bari bari qeemti medicines ke advertiement to paya jata hai magar jo dar asal kisi medicine se hasil nahi hotay.
Daily 1 se 2 apple ka use cholesterol ko kam karne mein madad faraham karta ha.
Tibbi mahireen ke mutabiq insani jism mein muzir cholesterol mein izafay ke bai's high blood pressure ka marz lahaq hota ha or insani body mein cholesterol ka tawazun barqarar rakhnay ke liye daily apple ka use faida mand ha.
Tibbi mahireen ke mutabiq apple mein mojood anti oxidants cholesterol ko sharyano mein ikhatte nahi hone dete or is tarah blood mein cholesterol ki sharah ko kam karte hein.
Dil ki ghabrahat ki soorat mein fresh apple ya is ka murabba khana intahai mufeed ha. Ismein iron, vitamin A, calcium, phosphorus paye jatay hein jo insani health ke liye zaroori hote hein, iske ilawa vitamin B or C bhi hote hein.
Canadian expert ne kaha ha ke daily saib chilke ke sath khane se blood pressure ki beemari se bachao mumkin ha, mahireen ke mutabiq saib chilkay ke sath khana green tea or blue berries ki nisbat ziyada karamad sabit hota ha, ye blood pressure ko normal rakhta ha or is ke daily use se blood pressure ki beemari se bachao mumkin ha.
Ye hypertension se rokta ha. Apple khanay ke bohat fawaid hein, ye body ko energy provide karta ha, saib khana achi sehat ke liye zaroori ha, ye phal qudrat ka qeemti tohfa ha.
No comments:
Post a Comment