Kailay (Banana) Ke Fawaid

Health Benefits Of Banana

kelay kay fawaid

kelay ke fawaid in urdu   

benefits of banana in urdu
banana ke fawaid
kele ke faide


Beauty Benefits Of Banana

kailay k fawaid, keel muhase ka ilaj in urdu
 keel muhase ka ilaj in urdu
keel muhase treatment in urdu
acne tips in urdu
desi totkay for acne in urdu


Health Benefits Of Banana
Sehat mand zindagi guzarnay ke liye kelay ko apni ghiza ka hissa bana lein.
Kailay par ki janay wali tehqeeq se ye baat samnay aai hai k is ke use se blood pressure control mein rehta hai kiyounka is mein shamil potassium insani khoon mein na sirf blood pressure ki satah barqarar rakhta hai balkay is ko barhnay se bhi rokta hai.
Tibbi mahireen ke mutabiq kelay khane se dil ki bhi mukhtalif beemario se bacha ja sakta hai. Kelay mein mojood fiber, potassium or vitamin C dil ko sehat mand rakhtay hein, in se sharyano ki beemaria lahaq hone ke khatrat kam hotay hein, kelay ka use cancer, saans or high blood pressure ke amraz mein bhi sood mand sabit hota hai.
Is ke ilawa kelay mein shamil vitamin B zehni salahiyato ko barhanay mein madadgar sabit hota hai, kelay ka rozana use na sirf dil ke doray se bachata hai balkay sartan jesay moozi marz se bachao mein bhi madadgar sabit hota hai or is mein shamil probiotic bacteria bones ki nasho numa mein ahem kirdar ada karta hai.
1 tehqeeq se ye sabit huwa hai k 2 bananas 1.5 hours ki sakht mushaqqat ke baad energy ki bahali ke liye kafi hein, kela hamaray jism ko energy provide karne ke ilawa isay fit rakhnay mein madadgar hota hai, isay apni roz maro ghizao mein shamil karna bohat se beemario se bachao ka bai's bhi banta hai.
Kela body mein khoon ki kami nahi hone deta kiyounkay ye iron se bharpoor hota hai, buland fishar khoon ko motadil rakhne mein kela bohat mufeed hai, kelay pai janay wali potassum ki bhari miqdar or is ke muqabil namkiyat ki kam miqdar khoon ke dorania ko behtar banati hai.



Beauty Benefits Of Banana
Agar muhaso ko khatam karne ka alternate ilaj chahte hein to kailay (Banana) ka chilka lekar ise muhase par rakhein. Is mein kailay ki yellow jild bahar ki janib ho. Kailay ke hissay ko plaster k zariye muhase par chip ka dein.
Aap ko andaza ho gaya hoga ke kaila kai awariz ka ilaj hai. Agar hum kailay ka comparison saib se karein to is mein saib ke muqablay mein Protein 4 guna, Carbohydrate 2 guna, Phosphorus 3 guna, Vitamin A or Iron 5 guna or deegar Vitamin or minerals 2 guna ziyada shamil hein. Yeh potassium se bhi mala maal hai.
Aap dekhtay nahi ke bandar jo kaila shoq se khatay hein hamesha khush or chaq o choband rehtay hein. Aap kailay ke chilkay se polish ka kaam bhi lay saktay hein. Is ke andurooni hissay ko apne shoes par rub karein or phir saaf kapray se saaf kar lein.
Aap kailay ke gooday ko honey or thoray se lemon ke juice ke sat mix kar lein. Is ka sooraj tulu hone se aadha ghanta pehle lap kar lein. Sooraj tulu hone se pehle pani se dho lein. Aap ka chehra kailay ki tarah chamakne lage ga. Yaad rahe, kailay ko kabhi fridge mein na rakhein.


8 comments:

  1. most usefull information I like so much.

    ReplyDelete
  2. Assalam o alaikum koi meday ka elaj bataye please

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa Alaikum Assalam!
      Meday mein kiya problem hai?

      Delete
  3. Replies
    1. 1. Dubla pan door karne ke liye rozana munaqqa khayen.
      2. Rozana kelay ka milk shake piyen.
      3. Dubla pan door karne ke liye kachi gajar khana ya juice peena bohat mufeed hai.
      4. Kaliji khoon paida karta hai lehaza is ka ziyada use karna chaiye.
      5. Injeer doodh ke sath khane se jism nota hota hai.
      6. Khajoor khoon paida karti hai or jism ko mota karti hai.

      Delete
  4. Money ko kaisay brahya jay or muth kaisay chori jay

    ReplyDelete
    Replies
    1. Is bemari kay ilag kay leya app shadi kar lain sub theek ho jai ga

      Delete
  5. مجھے معدے کا مسٸعلہ تھا میں نے کیلے شروع کۓ الحَمْدُ ِلله میں بلکل ٹھیک ھو گیا

    ReplyDelete