Peach Ke Faide
Benefits Of Peach
Peach Benefits In Urdu
Aaru mosam e garma mein kasrat se paida hone wala fruit hai is Vitamin A or Potassium samait kai ghizai ajza ki wafir miqdar mojood hoti hai jab ke deegar ingredients mein Vitamin B, Riboflavin, Niacin, Vitamin C, Calcium, Iron, Phophorus, Protein or Carbohydrates bhi shamil hein.100 gram aaru ko body ko 45 calories provide karta hai. Atba ke mutabiq aaru skin ko sehat mand bana kar is ki rangat ko nikharta hai.
Yeh pait ke keeron se nijat dilane mein mufeed paya gaya hai or Vitamin A se bhi bharpoor hone ki waja se cancer se bachao mein bhi madad deta hai. Yeh 80% se zaid pani or dietary fiber ki bharpoor miqdar ki waja se weight par qabu pane ke khuwahish mand afrad ke liye bhi best khayal kiya jata hai. Tibbi mahireen ise qabz kusha phal qarar detay hein jabkay yeh body mein glands or rasoli ke paida war rokne mein bhi useful hai. Joro ke dard mein mubtala afrad kasrat se is ka use kartay hein jis se in ke joro ka dard bohat had tak kam ho jata hai.
No comments:
Post a Comment