Chamakdar Or Ghane Balon Ke Liye
- Balon ko chamakdar or ghana rakhen ke liye inhein dhonay ke baad kachay coconut ka pani lagayen
- Rookhay balon mein ronaq lanay ke liye 4 khane ke spoon curd, 2 spoon mehandi chaan kar or tea spoon coconut oil ya olive oil mila kar achi tarah se balon mein lagayen or 20 minute baad dho lein. Yeh amal hafta mein 2 ya 3 martaba karein.
- 1 khane ke spoon mehandi mein 1 khane ka chamcha sarso ka oil milayen. Is mein 1 anda or aadha chaye ka chamcha lemon ka rus mila dein. Phir is ko balon mein laga kar kuch ghanto ke liye kapra lapet kar chor dein or dho lein. Yeh balon ka rookha pan khatam kar dega.
- Thori se mayonnaise se agar balon mein malish karein or thori dair baad dho lein to baal naram or chamakdar ho jayenga.
- Agar aap ke baal rookhay or be ronaq hein to anday ki safedi or zardi alag kar lein zardi ko khoob phent lein phir is mein 1 khane ka chamcha pani mila dein phir zardi or safedi mila kar khoob achi tarah phent lein or balon mein fingers ke zariey se achi tarah malish kar ke lagayen aadhay ghantay baad thanday pani se dho lein.
No comments:
Post a Comment