Wazaif For Ramzan

Wazaif For Ramzan
wazaif for ramzan
  • Ramzan Ul Mubarak ke pooray mahinay mein parhay janay walay Wazaif.
  • Rozana 12 tasbeehat Kalma Tayyaba ki din bhar mein kisi bhi waqt kisi bhi Namaz ke baad
  • 1 mukammal Quran Pak pooray mahinay mein
  • Rozana Namaz-e-Isha ke baad 2 Namaz-e-Toba or 2 rakat Namaz-e-Shukrana ada karein.

Ramzan Ul Mubarak K Wazaif

Ramzan Ul Mubarak K Wazaif In Urdu
Ramzan Ul Mubarak K Wazaif
1. Rozana 600 martaba Kalima Tayyaba ka wird karein.
2. Rozana 600 martaba darj bala Istaghfar parhein.
Hamaray Piyaray Nabi (P.B.U.H) ka farman-e-dilnasheen hai: Is mahinay mein 4 baton ki kasrat karo. In mein say 2  aesi hein jin k zariye tum apnay Rab Allah Azzawojal ko razi karo gay or baqya 2 say tumhay bay niyazi nahi. Pas wo 2 batein jin k zariye tum apnay Rab Allah Azzawojal ko razi karogay wo hein Kalima Tayyba or Istaghfar karna. Jab k wo 2 batein jin say tumhein bay niyazi nahi wo yeh hein. 1. Allah Azzawojal say Jannat talb karna 2. Jahannum say Allah Azzawojal ki panah talb karna.
3. Mukammal Mah-e-Ramzan Ul Mubarak k rozay rakhna har Musalman, aaqil, baligh par farz hein (Jab tak sharai uzar na ho)
Quran Kareem mein Allah Azzawojal irshad farmata hai: A Iman walo tum par rozay farz kiye gaye hein jesay aglo par farz huway thay k kahin tumhay parhezgari milay. (Surah Baqara, Ayat 183)
4. Rozana 2 rakat Salat o Toba parhein or gunaho say sachi toba karein or phir 2 rakat Salatul Hajat parhein.
5. Rozana 1200 martaba Durood Sharif.

Rabi Us Sani K Wazaif

Rabi Us Sani K Wazaif
rabi us sani k wazaif 

1. 800 martaba rozana kisi bhi waqtTarjuma: Allah sab se bara azmat wala hai or tamam tareefein Allah ke liye or Allah ko paki hai Subah-o-Sham. (Sunan Tirmizi, Jild 12, Page 17)
2. Rozana aadha ghanta Durood Sharif
3. Rozana 2 rakat Salat-o-Toba Isha ki Namaz ke baad
4. 3 rozay pooray mahinay mein kisi bhi din