Anjeer K Fawaid In Urdu

Anjeer Ke Faide In Urdu

anjeer k faiday


Anjeer Benefits In Urdu
Benefits Of Figs In Quran

Allah ne Quran mein anjeer ki qasam khai is ke beshumar faiday hein.
1. Cancer se bachata hai.
2. Dil ke aarza se bachata hai.
3. Cholesterol kam karta hai.
4. Sugar ke patients ke liye mufeed hai.
5. High blood pressure ko rokta hai.
6. Haddiyon ke liye bohat mufeed hai.

Fig Benefits In Urdu

fig benefits in urdu

Anjeer ko jannat ka fruit bhi kaha jata hai, ye kamzor or dublay or patlay logo ke liye besh baha naimat hai. Expert ka kehna hai ke rozana anjeer khane se motapay par qaboo paya ja sakta hai.
Anjeer sehat bakhsh or be panah fawaid ka hamil phal hai, expert ka kehna hai k motapay se tang afrad din mein anjeer ke 4 se 5 dane khayen, jo body ko require calories ke liye kafi hain.
Anjeer ke andar protein, mineral ingredients, sugar, calcium or phosphorous paye jatay hein, dono anjeer yani khushk or tar mein vitamin A or C kafi miqdar mein hote hein. Vitamin B or D qaleel miqdar mein hote hein, in ajza ke pesh nazar anjeer 1 mufeed ghizai dawa ki hesiyat rakhta hai.
Anjeer ka istamal haddiyo ko mazboot banata hai. Expert ka kehna hai k 1 anjeer insani body ko darkar folad ki 2 % zaroorat ko poori karta  hai.
Anjeer mein kuch khaas qisam ki calories bhi pai jati hain. Lehaza wo log jo apna weight ghatana chahtey hein anjeer ka zaroor istamal karein, kiyounkay 1 anjeer mein sirf 47 calories hoti hein.
Khoon ke dabao ka shikar afrad ke body mein Sodium or Potassium ki satah mutanasub nahi rehti or anjeer ka istamal is tanasub ko bahal karne mein nihayat mufeed sabit huwa hai.
Anjeer mein shamil Anti Oxidant kisi bhi deegar phal ki  nisbat ziyada mayari hote hein or ye compounds aesay mado ko kharij kar detay hein, jo khoon ki naliyo ko nishana banate hein.

No comments:

Post a Comment