Pehli Saf Mein Namaz Parhne Ki Fazeelat
Pehli Saf Mein Namaz Parhne Ki Fazilat
Hadees mein farmaya agar logo ko maloom hota ke saf-e-awal mein Namaz parhne ka is qadar sawab hai to is par Qura Andazi karte. Yani har 1 saf-e-awal mein khara hona chahta or jaga ki tangi ke sabab Qura Andazi par faisla hota. Sab se pehle Imam par Rehmat-e-Ilahi nazil hoti hai phir saf-e-awal mein jo is ke mahazi yani us ki seedh mein khara ho, is mahazi ke dayen janib phir bayen isi tarah doosri saf mein pehle mahazi Imam par phir dahne phir bayen par youn hi aakhir safoof tak.
subhan ALLAH .
ReplyDelete