Jhooti Qasam Khanay Ki Saza
Wo jo Allah ke ehad or apni qasmo ke badlay zaleel dam letay hein aakhirat mein in ka kuch hissa nahi or Allah no in se baat kare na in ki taraf nazar farmaye qayamat ke din or na inhein pak kare or in ke liye dard nak azab hai.
Choti Si Tafseer
Jo log dunya ke thore se nafa ke liye ehad torte hein or jhooti qasmein khate hein. Allah Ta'la ne in ke liye 5 waeedo ka tazkara kiya hai.
1. Akhirat mein koi hissa nahi mile ga.
2 Qayamat ke din Allah Ta'la in se baat nahi karega.
3. Qayamat ke din Allah Ta'la un ki taraf rehmat ki nazar se nahi dekhe ga.
4. Gunaho se pak nahi kare ga.
5. Dardnak azab hoga.
No comments:
Post a Comment