Mozi Janwar Say Hifazat
moozi janwar se hifazat
Hazrat Abu Hurera (R.A) farmatay hein k Aap (P.B.U.H) k paas 1 shakhs aaya or kaha k A Allah k Rasool (P.B.U.H) kal mujhay scorpion ne kaat liya, Aap (P.B.U.H) ne farmaya k agar aap sham k waqt darj bala Dua parhtay to wo aap ko nuqsan na pohanchata.
"Mein Allah k pakeeza kalam k zariye se makhoolq k har shar se panah chahta hoo." Ye kalmaat 3 bar parhna masnoon hai.
Hazrat Usman (R.A) se riwayat hai k Nabi Kareem (P.B.U.H) ne farmaya k jo shakhs subah or sham 3 martaba darj bala kalmaat ko parh lega to usay koi cheez nuqsan nahi degi.
"Shru us Allah k naam k sath k jis k naam k sath aasman or zameen mein koi cheez nuqsan nahi deti or wo sunnay or jannay wala hai. (Tirmizi)
No comments:
Post a Comment