Fajar Ki Namaz Kioun Farz Hui
Jab Adam (A.S) dunay mein tashreef laye to raat ki tareeki or andhera dekh kar raat bhar dartay rahay or khof ki waja se tamam raat rotay rahay kiounke wo to Jannat ke rehne walay thay unho nay raat or andhera kahan dekha tha. Jab Subah hui or raat ki tareeki kafoor hui to aap ki wehshat door hui Aap ne is ke shukriya mein 2 rakatein ada ki. Haq Ta'la ne is ummat par Huzoor (P.B.U.H) ke wastay se wohi Namaz farz kardi taa ke ummat is ko ada karti rahe or yeh samjha kare dukh, dard, khof pareshani ko Khuda hi door karne wala hai. Hazrat Adam (A.S) ne raat ki tareeki se nijat pa kar shukriya ada kiya tha. Or yeh ummat qabar or hashar ki tareeki ka pehle se hi fidya deti hai.
Note: Shukriya baad mein hota hai or fidya pehlay. Hazrat Adam (A.S) raat ki takleef utha chukay thay or yeh ummat qabar o hashar ki tareeki se fidya de kar pehlay hi mehfooz ho jaye.
No comments:
Post a Comment