Mufsidat e Namaz

Mufsidat e Namaz

Mufsidat e Namaz
Jin Cheezon Se Namaz Toot Jati Hai
1. Namaz mein baat karna.
2 Kisi ko salam karna ya jawab dena waghera.
3. Dard, takleef ki waja se awaz nikalna.
4. Apne imam ke ilawa kisi ko luqma dena (Yani ghalti batana).
5. Namaz mein Quran Majeed ko dekh kar parhna.
6. Quran Majeed parhne mein koi aesi sakht ghalti karna ke meaning badal jaye.
7. Khana peena.
8. Qibla ki taraf se bila uzar seena pher lena.
9. Satar khul jana.
10. Qehqaha maar kar hansna.
11. Amal e kaseer karna yani koi aesa kaam karna ke dekhne wala samjhay ke yeh admi Namaz ki halat mein nahi  hai, for example button lagana.

Yeh Mufsidat e Namaz hai jin ke karne se Namaz toot jati hai.

No comments:

Post a Comment