Khawateen k liye girtay huway baal bohat pareshani ka baais bante hein is liye wo girte balon ko roknay k liye tarah tarah ki jatan k liye tayyar ho jati hein. Dakhli beemariyan, adwiyat ka reaction or ghizai adam tawazun jesay kuch asbab hein jo balon k girne ka sabab bante hein. Dakhli beemariyon mein harmones ya ghudoodo ki be qaidgi balo ki masail ki jar hai. Thyroid gland ki ghair mamooli karkardagi bhi balon k girne mein ahem kirdar ada karti hai. Khawateen ki zindagi mein mukhtalif adwar mein jab harmones ki tabdili aati ha to baal jharne lagte hein or balon ki miqdar kam ho jati hai. Delivery k kuch maah k baad khawateen k baal bhari tadad mein jhar jate hein is liye zaroori ha k balon ki hifazat waqt se pehlay hi kar li jaye ta k balon ki khoobsurti or dilkashi barqarar rahay. Khawateen ko chahiye k wo balon ko zaroorat se ziyada kas kar na bandhein or har waqt balon ko khula rakhan bhi balon k liye nuqsan da hai. Bohat ziyada garam mahol mein balon ko ziyada dair rakhne se bhi balon ki khoobsurti kharab hoti hai. Balon mein hair rolls ka musalsal istamal bhi balon ko nuqsan ki taraf lay jata hai. Balon k sath karakht tarz-e-amal, khusoosan jab inhein kheencha ya phelaya jaye to balon ki bohat bari tadad toot phoot kar shikar ho jati hai. Har baal ki apni 1 umar hoti hai jab us baal ki zindagi khatam ho jati hai or yeh baal gir jata hai to is ki jaga doosra baal lay leta hai. Jab baal girne ki miqdar naye baal ugnay ki miqdar se barh jaye to baal girne ki soorat-e-haal clearly tor par mehsoos honay lagti hai is liye zaroori ho jata hai k balon ki sehat bahal ki jaye ta k naye baal ugnay ki sharah kam na ho jaye ya naye baal ugnay ka amal mutasir na ho.
RIZWAN
ReplyDelete