Bair Ke Fawaid



bair k faiday
bair ke faiday
bair ke faide

Bair ki ghizai khoobio ke silsile mein sirf itna keh dena kaafi hoga ke ye saib ka hum palla hota hai. Ber mane tishnigi aur anto ke keeron ko marne mein mufeed hota hai. Kacha bair bhi faidamand hota hai kyounke wo qabiz hota hai. Anto ke zakhmo ke liye bair behad mufeed hai. Ber ke istemal se khoon saaf ho jata hai aur is ke zehrile maday kharij ho jate hein. Rozana 8 se 10 bair khane se chehre daagh dhabbe saaf ho jate hein. Ber seene ke amraz mein bohat mufeed hai. Bair ki pattio se sar dhone se girte hue baal jam jate hein. Pisi hui pattio ka neem garam lap zakhmo par lagane se peep kharij ho jati hai. 
Beri ke patte se ubale hue pani se musalman murday ko ghusal diya jata hai. Iska sciencee faida ye hai ke murde ka jism naram par jata hai aur murde ka jism keere makoron se mehfooz rehta hai.

1 comment: