False Ke Fawaid


falsa ke fayde

false ke fayde

Jab baat ghizayat ki ho to aksar maqbool phalon jese apple, orange ya banana ka khayal zehan mein aata hai. Lekin kya aap jante hein ke falsa ye 1 chota sa phal hai lekin ghizai ajza se bharpoor hai aur aap ki majmooi sehat ke liye bohat faidamand hai.
Falsa ke sab se qabil zikar fawaid mein se 1 faida ye hai ke is mein anti oxidant mawad mojood hai. Anti Oxidants aap ke jism ko azad radicles ke muzir asraat se bachane mein madad karte hein jo tanao aur mukhtalif daimi beemario ka bai's bante hein. Falsa mein polyphenol aur flavonoids hote hei jo strong anti oxidant ki tor par kaam karte hein. Aap ke cells ko nuqsan se bachate hein.
Falsa Vitamic C 1 1 behtareen zariya hai jo quwate mudafi'at barhane wali khusoosiyat ke liye mashoor hai. Apni Ghiza mein falsa ko shamil karne se quwat e mudafi'at mein izafa hota hai jis se aap ko beemario se bachne mein madad milti hai.
Agar aap apne hazme ko behtar banana chahte hein to apni ghiza mein falsa ko shamil karein. Ye phal ghizai raishe se bharpoor hota hai jo ke munasib hazme mein madad karta hai aur qabz ko rokta hai.
Sehatmand heart ko barqarar rakhna majmooi sehat ke liye bohat zaroori hai aur falsa qalbi sehat ke liye bohat faidamand phal hai. Is phal mein cholesterol ki miqdar kam hoti hai aur is mein dil ke liye mufeed ghizai ajza jese potassium aur fiber hota hai. Potassium  high blood pressure aur heart disease ke khatre ko kam karta hai jo ke sehatmand dil ke liye bohat zaroori hai.
Falsa ko shadeed garmi ke mahino mein jism par qudrati thandak ke asraat ke liye khaya jata hai.





No comments:

Post a Comment