Garma Benefits In Urdu
fruit benefits in urdu
phalon k fawaid in urdu
Urine ruk ruk kar aata ho ya garmi ki waja se rangat gehri zard ya surkh ho to garma k use se sahi ho jata hai balkay gurda ki pathri bhi toot kar kharij ho jati hai. Blood pressure mein bhi is k achay asrat samnay aatay hein. Garma k use se nizam-e-hazam durust ho jata hai. Sozak k baad k asrat garma k use se hamesha k liye khatam ho jatay hein. Jism mein glucose ki kami ko poora karnay mein is ka koi sani nahi.
Badan mein uzlat k sukar or nichor ko tabai karta hai. Is ki 1 khusoosiyat ye bhi hai k safralmodal hai aesay tamam amraz jin ka sabab safra hai garma se faida hota hai. Garma jahan 1 tasty or healthful fruit hai wahan 1 akseeri dawa bahi hai. Jin logo k hath paon jaltay ho jesay aag nikalti hai. Baaz log to winter mein bhi lihaaf mein paon nahi rakh saktay. Aesay log garma ka use rakhein to chand youm mein useful result samnay aayengay.
Garma garmi mein khane se nuksaan to ni hoga? Agar bawaseer garmi mein hogya ho to kya garma qabz paida krega ?
ReplyDeleteGarma garmi mein khanay se koi nuqsan nahi hoga.
DeleteGarma se qabz nahi hota garma khana hazam karne mein madad deta ha.
Agar bawaseer ka marz ha to apnay Doctor ki hidayat ke mutabiq amal karein.
V good
ReplyDelete