Aalu Bukhara Ke Fawaid
aaloo bukhara ke fawaid in urdu
Maqam paidaish Kashmir, Color surkh siyahi mail, zard rang ka bhi hota hai, taste sweet, turshi maail or chashni dar, 1 famous common tree ka fruit hai. 2 types ka hota hai. Piyas ko taskeen, garmi k dard-e-sar or matli ko mufeed hai. Tabiyat ko naram karta hai. Aanto mein phislan paida karta hai. Leaves ka joshanda bana kar is se ghar ghara karna, nazlay ko rokta hai. Is ka murabba bhi qabz kusha hai. 7 danay raat ko sotay waqt khanay se ajabat ya faraghat ho jati hai.
No comments:
Post a Comment