Sarda Benefits In Urdu
sarda fruit k fawaid
fruit benefits in urdu
phalon k fawaid in urdu
fruit benefits in urdu
phalon k fawaid in urdu
Sarda ka taluq kharboozay or garma k khandan se hai. Is k ingredients mein Vitamic C, sugar or water hai. Is ka mizaj sard tar hai.
Sarda k musalsal use se salahiyat amal ki qudrati quwat mein izafa hota hai. Jo log isay khatay hein un ko urine waghera ki takleef nahi hoti jism ki laghari kamzori door karnay or taqat o tawanai bakhshnay or farbahi lanay mein ye apni misaal aap hai.
Bohat jald juzz badan banta hai. Saleh khoon paida kar k chehray ki rangat nikharta hai. Jism ki khushki door kar k ratoobat zaroori mein izafa karta hai, sarda ka use bator medicine bhi bara useful hai kiyounkay ye peeshab awar hai or is tarah urine khul kar bhi aaye ga jalan or sozish bhi jati rahe gi.
Sarda ka use zaroor karna chahye takay medicines k bajaye is natural method say madawa ho jaye, khansi or safrawi bukharo mein faida deta hai. Insani jism ki beroni jild ki post o khushki door kr k in mein mulaimat o tazgi paida karta hai. Sarda hamesha paka huwa use karna chahiye. Is tarah ghizai kami door hogi or bohat se amraz se nijat milay gi.
No comments:
Post a Comment