Shareefa (Custard Apple) Ke Fawaid

Shareefa Ke Fawaid In Urdu


shareefa ke fawaid in urdu



Shareefa 1 mashoor phal hai. Gurdo k liye bohat mufeed hai. English mein isay custard apple kehtay hein. Pak kar nihayat khushboo dar or lazeez ho jata hai. Taste behad sweet hota hai. Is ka chilka ubhar dar hota hai jis ka colour sabz siyahi mail hota hai, is k chilkay ko press karein to ye foran toot jata hai or andar se white colour ka gooda nikal aata hai, jis mein shareefa k seed bhi hotay hein.
Shareefa ka plant amrood ki tarah hota hai magar is k pattay 1 khaas tarah k hotay hein.
Shareefa khatay rehnay se  jism khoob farba ho jata hai or jild ki khushki door ho jati hai. Piyaas ki shiddat ho to shareefa khane se afaqa  hota hai.
Shareefa gurdo k liye bohat mufeed hai is se na sirf urine khul kar aanay lagta  hai balkay gurdo ki laghrai bhi door ho jati hai or gurday is k use se khoob farba hojatay hein shareefa se gurdo or masana ki garmi kharij ho jati hai or is tarah urine ki jalan or surkhi khatam ho kar sukoon aa jata 
hai. 
Liver ki garmi k liye shareefa mufeed ghizai dawai hai. Is k musalsal use jigar ki garmi kam ho kar safra ki tamam symptoms mein sukoon ho jata hai. Maiday ki tezabiyat k liye shareefa mufeed paya gaya hai is k use se maiday ki acidity door ho kar maiday ki jalan ko aram aa jata hai.
Shareefa blood k garhay pan ko door kar k khoon ko patla karta hai jis se aesi alamat jo khoon k garhay pan se paida hoti hai yaksar khatam hojati hai. High blood pressure mein bhi shareefay ko bhi mufeed paya gaya hai balkay is ko use kartay rehnay se high blood pressure honay hi nahi pata. Piles (Bawaseer) ki shikayat mein bhi shareefa mufeed paya gaya hai, aanto ki khushki rafa hoti hai or is tarah jalan or sozish ko afaqa ho jata hai pechish mein jab k aanto mein sozish or kharash hoti hai maror or bechaini hoti hai pait mein jalan ki si kefiyat hoti hai shareefa khane se jumla alamat khatam hokar 1 dam rahat ho jati hai.
Shareefay ko diarrhea, stomach pain, indigestion, vomitting or sugar jesi symptoms mein use nahi karna chahiye. Garmi k nazla or jalandar khansi mein shareefay se faida hota hai khaas tor par khushki or garmi se jab khansi ho rahi ho to shareefay k use se narmi or tari paida hokar khansi mein sukoon aa jata  hai or balgham ba asani nikalnay lagta hai.


6 comments:

  1. pakistan main kahan say milta hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai sindh mien cultivate hota Hai yeh ziada baqi pindi Islamabad mien mehanga Hai is liye mandi mien kisi se bhe mil jaye ga sardioun mien ata Hai yeh phal

      Delete
  2. Pakistan ke har fruit mandi mein mil jayega.

    ReplyDelete
  3. Karachi mn aasani sy mil jata hy

    ReplyDelete
  4. Hamry gar me b Laga h

    ReplyDelete