Anar Ke Fawaid In Urdu

Anar Ke Faide In Urdu


Anar mein ajza lehmia, sugar, calcium, folad or phosporous jesay ajza paye jatay hein. Jo blood ko aetidaal par rakhtay hein is liye ghizai kami k shikar hazrat k liye ye 1 umda tonic hai. Pomegranate mein Vitamic C kasrat se paye jatay hein. Is liye skin diseases ka ye 1 qudrati ilaj hai. Is ka rus piyas bujhata hai. Hararat kam karta  hai or energy ability ko qaim rakhta hai. Quwat basarat tez karta hai. Blood ki kami ko door karta hai. Ye fruit, nala, zukam, khansi or constipation, sugar or balghami amraz walay logo ko use nahi karna chaiye.
Sweet pomegranate kisi na kisi dard ko khatam karta hai or shaitani waswasay se bachata hai. Pomegranate k dano ko seed samet khane se maida saaf rahengay. Balo ki afzaish mein madad deta hai. Badan ko farba karnay mein akseer ka darja rakhta hai. Blood ko halat e aetidal par rakhta hai or blood ki paidaish mein helpful hai. Nizam e hazam ko durust rakhnay mein madad deta hai. Basarat jigar or qalb k liye taqat bakhsh hai. Khush khansi mein meetha anar mufeed hai. Tabiyat mein farhat paida karta hai piyas bujhata or ghizayat provide karta hai. Meetha anar sard tar, khatta anar sard khushk, meetha anar hi use karna chahiye. Is se weakness, jigar, maida, dast or qay, jild ka marz or dard door ho jatay hein.

No comments:

Post a Comment