Matar Ki Rangat Barqarar Rakhnay Ke Liye
tip to maintain peas color
peas ki rangat barqarar rakhnay ki tips
Matar chahay dish k tor par pakaye jayen ya inehn kisi doosri cheez k sath mila kar pakaya jaye dono soorto mein in ki asli rangat ka barqarar rehna be had lazmi amar hai. Matar palao 1 aam or sada se dish hai jo k taqreeban har ghar mein shoq o ahtimam se pakai or khai jati hai. Palao mein matar ki rangat piyaz k bais gehri pr jati hai jo k basa auqat ankho ko bhali nahi dikhai deti. 1 sada sa totka pesh hai k palao mein haray peas k danay milanay se pehlay in par agar halka se koi oil achi tarah laga dein to dano ka green color paknay k baad bhi wesa hai qaim rahe ga. Vegetables pakatay waqt agar lemon k chilko ko bhi daal dein to vegetables ki rangat mand nahi parti vegetables ka taste barqarar rakhnay k liye pani garam kar k phir vegetables ko dalein 1 dam thanday pani mein mat dalein.
No comments:
Post a Comment