Nashpati Ke Fawaid

Nashpati Ke Faiday

nashpati k faiday in urdu
 nashpati k fawaid in urdu
nashpati k faiday in urdu
pear benefits in urdu

Bawaseer Ki Bimari mein nashpati ka istemal bohat mufeed hai. Baaz nashpati aesi hoti hai k chilka chutki se alag ho jata or goda moo mein ghul jata, isay nakh k naam se yaad kartay. Phir peshawar mein pears k bagh k bagh dekhay balkay ugaye bhi or aesi jiddatein k nashpati k tareef badal kar reh gai.

Nashpati Ki Tabiyat: Nashpati ki tabiyat honey se milti julti hai chunachay nashpati ka mizaj garam naz yani molad ratoobat sualeha hai is ka use khushki or garmi ko dafa karta hai or jism mein tari paida karta hai. Chunachay aesay tamam amraz jin ka sabab acidity ho ya namak ya safra sabab raha ho jis k natijay mein jism mein garmi ya khushki ki ziyadti ho gai ho nashpati k use se jatay rehtay hein.

Nashpati K Khuwaas: nashpati majmooi tor par maidal safra hai. Safra ko qata karta hai or is se paida honay walay tamam amraz ko sakhti k sath nafe hai. Chunachay warm jigar, salabat jigar, jigar ki pathri or jigar ki sozish mein is ka use mufeed sabit hota hai, yarqan k mareezo mein bator-e-ghiza ya phal k tor par di ja sakti hai, nashpati ka use bohat mufeed rehta hai.
Nashpati peshab ki jalan ko door karti hai.
Qabz tor hai, is ke khane se pakhana ba faraghat aata hai.
High blood pressure mein nashpati ka use bara mufeed hai.
Dil o dimagh ko farhat deti hai, dimaghi kamzori door karti hai.
Badan ko farba karti hai, taza khoon paida karti hai.
Nashpati bawaseer ke liye bhi mufeed hai.

1 comment:

  1. بہت خوب لکھا ہے آپ نے اور ان کی اقسام کا بھی ذکر کیا۔

    ReplyDelete