Lungs Cancer Symptoms, Risk Factor And Safety Precautions
lung cancer risk factor
lung cancer symptoms
causes of lung cancer
Ladies k muqablay mein gents mein lungs cancer mein mubtala honay ka khatra 250% ziyada hota hai. Taham America mein 1984 mein har 1 lack afrad mein 586 afrad k muqablay mein ab is cancer ka khatra 981 afrad hogaya hai.
America mein ab bhi lungs cancer har saal 92000 afrad ko mot ki nazar kar deta hai. Prostate cancer se marnay walo ki yearly quantity 30000 se zaid hai.
America mein ab bhi lungs cancer har saal 92000 afrad ko mot ki nazar kar deta hai. Prostate cancer se marnay walo ki yearly quantity 30000 se zaid hai.
Lung Cancer K Alamaat:
Mustaqil khansi rehti hai. Seenay mein dard rehta hai. Pneumonia bar bar hota rehta hai. Kabhi kabhi khansi bohat shiddat ikhtayar kar leti hai.
Lung Cancer Risk Factor:
100 mein se 50 case cigarette noshi k bai's hoti hein. Jo log cigarette nahi peetay magar cigarette peenay walo k qareeb hotay hein inhen bhi ye cancer daboch sakta hai. Rozana 2 packet cigarette peenay walo mein lungs cancer ka khatra ziyada hota hai. Tabkari, Sanati idaro k kachray, fizai aaloodgi or chand deegar awamil is cancer ko parwan charhanay mein important kirdar ada kartay hein.
Hifazati Tadabeer:
Cigarette noshi mukammal tor par tark kar dijiye. Lungs cancer mein sab se ziyada khatarnak baat ye hai k is ki alamaat is waqt zahir hoti hein, jab marz doosray teesray darjay mein dakhil ho chuka hota hai.
Ap ka ye Islamic Urdu Blog bhot acha h. cancer ki bimari ky bary me ap ny post ki h. jo ky bhot faida mand h. Ab me in chezo sy bachny ki koshish kro gi jo cancer ki bimari ka sabab banti h. Thanks!
ReplyDelete