Angoor Ke Fawaid
grapes benefits in urdu
angoor ke fawaid
angoor ke faide
Grapes mein bohat se mufeed ghizai ajza paye jatay hein jin mien Vitamins A, C, Calcium, Iron or Potassium shamil hein jo insani sehat k liye intihai mufeed hein jab k is k istamal se na sirf asthma k marz ka ilaj kiya ja sakta hai balkay is mei shamil Vitamins bones ko mazbot strong karne mein intihai ahem kirdar ada krta hai. Is k ilawa grapes mein 1 khaas ka Antioxidant paya jata hai jo k intestine or glands cancer heart diseases, neurological disease, alzheimer or viral and fungal infection k khilaf bohat mufeed hota hai. Grapes mein shamil deegar ahem ajza jesay Iron, Copper or Mangnese body mein khoon ki kami ko door karne mein helpful sabit hotay hein jabkay is ka rus hazmay k liye bhi mufeed hai.
Grapes mein kuch khaas qisam ki khusoosiyat bhi shamil hein jo cancer jesay moozi marz k khilaf larnay mein helpful sabit hoti hein or cancer peda karne walay cells ki afzaish bhi roktay hein, jabkay is hawalay se ki gai 1 research mein bhi ye baat sabit hui hai k grapes ka rus ka use na sirf breast cancer ko rokta hai balkay deegar iqsam k cancer se bachao mein bhi madadgar sabit hota hai.
Angoor taqat bakhsh or jaldi hazam karne wala hai. Pani mein gholne se glucose ki taseer sard ho jati hai. Qudrat ne angoor mein kai beemario ko door karne ki ajeeb taseer bhr di hai. Kaan se peep kharij hoti ho to tursh angoor ke rus ko aag par rakh par paka lijiye. Jab qawam qadray garha ho jaye to kisi choray moo ki sheeshi mein mehfooz rakh lijiye. Bawaqt zaroorat dugnay honey mein hal kar lein.
Khoon banane mein angoor ka muqabla anjeer ke siwa koi dawa or ghiza nahi karti. Pakay hue angoor jism ko ghizayat provide karte hein jis se jism ko taqwiyat hasil hoti hai or beemari ke khilaf quwat e mudafiyat barhti hai. Aese log jin ko gurdo ka aariza ho ya pathri ki waja se peshab ruk kar aata ho, angoor bator dawa use karna chahiye kiyounkay ye peshab aawar hai or gurdo se rait ke zarray nikal deta hai.

No comments:
Post a Comment