Pomegranate Benefits In Urdu
Wesay to qudrat ne har fruit mein kuch na kuch fawaid posheeda kar rahay hein lekin scientist ne pomegranate ko aesa phal qarar diya hai jis mein dunya k har fruit se ziyada fawaid hein.
England ki Oxford University se wabasta expert ne guzishta 1 bars k doran mukhtalif idaro or scientist ki janib sy pomegranate par ki jani wali tehqeeq par mushtamil tajziyati report pesh ki hai jis k mutabiq sehat k hawalay se pomegranate wo fruit hai jis mein tmam fruits k muqablay mein sab se ziyada fawaid posheeda hein. Rozana pomegranate ka juice peenay se kamar k ird gird charbi ka khatima hota hai is k qudrati ajza motapay ka bai's bannay walay cells ka khatima kar k charbi pighlanay mein important role ada kartay hein, is k ilawa depression ko kam karnay k lye bhi behtareen tonic hai.
Expert ka kehna hai k pomegranate mein sangtaray or green tea se 3 guna ziyada Anti Oxidants paye jatay hein, jo body ko kai fazil mado k asraat se bachata hai. Is k ilawa pomegranate ka regular use na sirf prostate cancer or anto k cancer ko barhnay se rok sakta hai balkay prostate cancer k cells ko khatam bhi kar sakta hai. Khanay k baad pomegranate khanay se blood mein sugar level control mein rakha ja sakta hai. Pomegranate dil ki sharyano ko charbi se paak kar k blood k bahao ko behtar banata hai, is k ilawa ye qudrat ka ye anmol tohfa skin or liver ki sehat k liye bhi bohat mufeed hai.

No comments:
Post a Comment