Jamun Ke Fawaid
jamun ke fayde
jamun benefits in urdu
jamun fruit health benefits
jambolan fruit benefits
jamun fruit health benefits
jambolan fruit benefits
Jamun ke beshumar fawaid hein, kai amraz ke ilaj mein karamad sabit huwa hai.
Jamun mein Iron, Calcium, Magnesium, Iodine or Insuline pai jati hai.
Jamun ki ghutli ko pees kar 1 masha ki miqdar mein din mein 3 4 bar pani ke sath diabetes ke liye faiday mand hai.
Chehre ki shadabi, dagh dhabbay or jhayya door karne ke liye jamun ka berooni ue bhi kiya jata hai.
Tilli, jigar or maiday ko taqat deta hai.
Heart patient ke liye sehat bakhsh hai.
Sard khushk ye khoon or garmi ke nuqais door karta hai. Bhook lagata hai khane ko hazam karta hai. Qadray qabiz hai tilli, jigar or maida ko taqat deta hai. Khusoosan garam tabiyat walo ke balo ko girne se bachata hai peshab ke shakar aane ko rokta hai. Jamun barhi hui tilli ke liye bohat mufeed hai isay wesay bhi khaya ja sakta hai or is ka sharbat bana kar bhi peena mufeed rehta hai. Jamun ki chaal ka joshanda purane ishal or pechish mein mufeed rehta hai. Galay aane or phoolay hue masoorho mein is ki kulliya or ghararay had darja nafa bakhsh hein.
Jab jamun ka mosam ho to diabetes wale mareez roti khana kam kar dein or ziyada se ziyada jamun use karein is tarah in ke peshab mein shakar aana band ho jaye gi. Log jamun khate or ghutliya bekar samajh kar phenk detay hein halankay jamun ki ghutliya bekar cheez nahi, ye ghutli bohat kaam ki cheez hai. Jamun ki ghutli ko saya mein khushk kar ke is ka safoof bana lein 3 masha ye safoof dahi ke sath ya lassi ke sath din mein 3 bar use karne se har qisam ki pechis door ho jati hai.

Eyes se pani aata ho ya motia utar raha ho jamun ki ghutli khushk kar ke bareek pees kar 3 3 masha subah o sham pani ke sath khilayen. Jin logo ka masana kamzor ho or raat ko khuwab-e-bad se ya baghair kisi khuwab ke ehtelam hojata hai un ko jamun ki ghutli ka safoof 3 3 masha subah o sham pani ke sath khana chahiye. Khooni dast mein jamun ki ghutli 1 tola subah o sham pani mein ragar kar pilana mufeed hai.
Jamun ki taro taza chaal 1 tola ko aadhay pao pani mein ragar kar or chan kar subha or sham pilana aurto ki haiz ki ziyadti mein behad mufeed hai. Saya mein khushk kar ke or bareek pees kar kapar chaan ki hui jamin ki chaal 4 4 masha subha o sham pani ke sath khilane se leucorrhoea door ho jata hai. Jamun ka taro taza chilka 1 tola, aadh pao pani mein ragar kar chaan kar subha o sham pilana soozak ko door karta hai.
No comments:
Post a Comment