Khajoor Ke Fawaid
khajoor ke faiday
khajoor ke faide
benefits of dates in urdu
Khajoor ke baray mein Irshad-e-Nabvi (Peace Be Upon Him) hai k "Ye phal Jannat se hai or is mein zehar se shifa hai."
Khajoor mein carotene paya jata hai, jo body mein pohanch kar vitamin A mein badal jata hai. Is mein vitamin B kafi miqdar mein hai. Is ke ilawa calcium, phosphorous or iron teeno madni namkiyat munasib miqdar mein paye jatay hein. 1 pao khajoor khane se 800 calories hasil hote hein. Khajoor aanto ki ghilazat or qabz ke ta'ffun ko door karti hai.
Ehtelam ke mareez ko raat ko khajoor nahi khane chahiye.
Khajoor kha kar foran pani nahi peena chahiye, is se hazma bigar jata hai.
Khajoor kamzor or dublay patlay afrad ke liye bohat mufeed hai. Aadha kilo milk mein 4 khajoorein rozana boil kar ke pi jayen to badan farba ho jata hai.
Hum may se bohat kam logo ke knowledge mein ye baat hai k khajoor ulcer ke liye intahai mufeed fruit hai. Choonkay ghizayat ke aetabar se ye 1 behtareen maqwi ghiza hai, is liye Ramzan ke mahine mein is ke ziyada se ziyada use ka mashwara diya jata hai. Is mein iron ki miqdar taqreeban 10.6% hoti hai jo deegar fruits or vegetables ki ba nisbat bohat ziyada hai. Ise liye khajoor ko khoon paida karne ka khazana kaha jata hai. Is ke ilawa wo log jo kamzor or kharba jisamat ke hamil ho ya jinhen sardi ziyada lagti ho, un ke liye khajoor behad mufeed tasawar ki jati hai.

No comments:
Post a Comment