Namaz-e-Awabeen Ka Tarika

Namaz-e-Awabeen Ka Tarika

namaze awabeen ka tarika
Salaat-e-Awabeen
Salatul Awabeen
Method Of Awabeen Prayer

Maghrib ki 3 rakat farz parhne ke baad 6 rakat 1 hi niyat se parhye, har 2 rakat par qaida kijiye or is mein attahiyat, Durood-e-Ibrahim or Dua parhye, pehli, teesri or panchwi rakat ki ibtada mein sana, tauz o tasmiyah bhi parhye. Chati rakat ke qaiday ke baad salam pher dijiye. Pehli 2 rakatein Sunnat e Moakkada hui or baqi 4 nawafil. Ye hai awabeen (Yani toba karne walo) ki Namaz.
Chahein to 2 rakat kar ke bhi parh saktay hein. Baad maghrib 6 rakatein mustahib hein in Salatul Awabeen kehtay hein, khuwah 1 salam se sab parhay ya 2 se ya 3 se or 3 salam se yani har 2 rakat par salam pherna afzal hai.

Salatul Awabeen Ki Fazilat:

Hazrat Syedna Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke Aap (Peace Be Upon Him) ne farmaya "Jo maghrib ke baad 6 rakatein is tarah ada kare ke in ke darmiyan koi buri baat na kahe to ye 6 rakatein 12 saal ki ibadat ke barabar hongi."

3 comments:

  1. Peace Be Upon Him
    Is ka mtlb kya ha

    ReplyDelete
  2. Peace be upon him ka matlab hai prophet apne pyare Nabi salellahu alaihi wasallam ap par lakho darood aur salaam...jab kabhi Nabi ka zikar hua to darood padhe...

    ReplyDelete