Strawberry Ke Fawaid
strawberry benefits in urdu
strawberry ke faiday
strawberry ke faide
Strawberry ka rozana use na sirf insan ki quwat e mudafiat barhata hai balkay heart attack ke khatray ko bhi kam karta hai.
Strawberry na sirf khane mein mazadar hai balkay is ka rozana use insan ko sehat mand bhi banata hai, is mein vitamin C ki wafir miqdar bhi pai jati hai jis se quwat e mudafiyat mazboot hoti hai.
Strawberry khane wala dil ke muhallik amraz ka shikar nahi hota, expert tib ka kehna hai k har doosray roz strawberry ka use dil ke doray ko 1 tihai had tak kam kar deta hai jab kay strawberry joron ke dard ke mareezo ke liye bohat mufeed hai.
Strawberry khanse se cancer jesi muhallik beemari se bachay rehtay hein.
1 research ke mutabiq strawberry ka bila nagha use high blood pressure ke patient ke liye medicine ka kaam karta hai. Research ke mutabiq strawberry mein mojood antioxidants ragon mein khoon ki rawani ko kam kar ke balance karne mein madadgar sabit hota hai.
No comments:
Post a Comment