Tamatar Ke Fawaid
Tomato ka istamal high blood pressure or khoon mein cholesterol ki satah ko kam karne mein madadgar sabit hota hai.
Australia mein hone wali research ke mutabiq tomatoes mein paye janay walay lycopene ki rozana 25 mg miqdar blood mein chiknai ki satah ko 10% tak kam kar sakti hai.
Tomato se qudrati tor par high blood pressure normal karne mein madad milti hai, tomato mein qudrati tor par potassium mojood hota hai jo hamaray hypertension ko rokta hai.
Tomato lycopene hasil karne ka 1 ghair mamooli zariya hai. Is mein hamaray jism ki sehat ke liye beshumar faiday miltay hein. Misal ke tor par lycopene mein mojood Fetocompound LDL ke hamaray body mein mojood buray cholesterol ki level ko kam kartay hein or achay cholesterol ki satah ko barhatay hein ye wo ghiza hai jis ko pakane k baad bhi is ki ghizayat mein koi kami nahi aati.
Tomato mein mojood Vitamin B blood pressure or cholesterol ki satah ko kam rakhne mein madadgar sabit hota hai.
Is k natijay mein ye paralysis, heart attack or deegar khatarnak masail se bachata hai.
Expert ka kehna hai k Tomato ko paka kar khana ye is ka paste use karna kachay Tomato khane se ziyada faida mand sabit hota hai or rozana 50 gram Tomato paste k use se dil ki beemariyon se bhi mehfooz raha ja sakta hai.
America mein hone wali research se ye baat samne aai hai k Tomato or Tomato se bani hui cheezo ko khoorak mein shamil karne se na sirf cancer ka khatra kam ho jata hai, balkay dil ki beemariyon se bhi bacha ja sakta hai, Tomato khane se insan sehat mand rehta hai.
Tomato mein Vitamin K or Calcium bhi khasi miqdar mein paya jata hai jo haddiyo or haddiyo k tissues ke liye mufeed hota hai.
Tomato ke ingredients iron, vitamin A, H or C hein.
Tomato blood saaf karta hai, khushki door karta hai.
Danto ki jumla beemariyo se mehfooz rakhne or mazboot banane ke liye tamatar ka use behad zaroori hai.
Laghar or kamzor bacho ko har subah choosne ko 1 tamatar dena behad mufeed hai, in ke parwarish ke sabhi ingredients is mein mojood hotay hein.
Bacho ko tamatar ka juice diya jaye to inhen dant nikalne mein behad asani hoti hai.
Mothers jo bacho ko apna doodh pilati hein inhen tamatar har halat mein khana chahiye, pregnant aurat har subah 1 tamatar choos liya karein ya is ka rus nikal kar pi liya karein, to in stomach durust kaam karta rahe ga, vomitting or nausea ki shikayat nahi hoti.
No comments:
Post a Comment