Artificial Jewellery Ki Siyahi Door Karne Ke Liye
artificial jewellery ki siyahi door karne ka tarika
Jab se mehengai ne zor pakra hai artificial jewellery ko phalne phoolne ka khoob moqa mila hai. Artificial jewellery apni umda chamak damak or khoobsurti mein asal jewellery ko peechay chor gaye hein. Taqreebat mein ziyada tar aesay hi jewellery ka use hota hai. Ye jewellery agar kuch arsa tak pare rahine to yani use mein na aayen ya in par perfume waghera lag jaye to ye apni chamak damak kho beth'tay hein. Agar aap chahti hein k aap ke artificial jewellery black na ho or aesay hi chamaktay rahein jesay k aap ne abhi khareeday hein to aap inhen 1 white tissue paper mein lapet kar 1 air tight jar mein 1 piece chalk daal kar rakh dein. Is se aap ke zewraat kabhi black nahi hongay.
No comments:
Post a Comment