Chehre Ke Nikhar Ke Liye Tarbooz Ke Gooday Ka Mask
chehray ke nikhar ke liye
chehre ke liye tarbooz ka mask
Tarbooz mosam e garma ka phal hai jis mein 90% pani hota hai. Water melon khana bohat mufeed hai kiyounkay ye Potassium or Magnesium ke khuwas se bharpoor hai. Body mein khoon banne ke amal ko tez kar ke chehre ki surkhi o shadabi ka baa'is banta hai.
Tarbooz ke goode ka mask chehre par lagane se chehra nikhar kar khil uthta hai. Tarika ye hai ke goode ko pees kar mixture ki shakal mein chehre par lap ke 15 minute tak laga rehne dein or phir neem garam pani se dho lein.
Isi tarah tarbooz ke beej zaya na karein beejo ko pees kar 2 se 3 table spoon garam pani mein mix karein or chehre par 10 minute ke liye lap lagayen. 10 minute ke baad chehre ke dho lein. Chehra naram o mulaim or chamakta nazar aaye ga or chehre par ye makhmali ahsas beejo mein mojood oil or protein ki waja se mumkin hota hai.
ASLAMUALIKUM exam k lye plz koi wazaifa bta dn mry B.com part 2 k exzam hn
ReplyDeleteWa Alaikum Assalam!
DeleteVisit http://www.islamiwazaif.com/2010/08/imtahan-mein-kamyabi-ka-wazifa.html