Doodh Ka Istamal Khoobsurti Ke Liye
usage of milk for beauty
Doodh ka istemal peene ki shakal mein or mukhtalif mashroobat ki soorat mein kia jata hai jo ke yaqeenan sehat or tandurusti ke liye behtareen ghiza ka kaam deta hai. Chehre ko jhurrio se bachane ke liye milk ka istemal nihayat zaroori hai kiyounkay munasib miqdar mein chiknai jismani aeza ki taro tazgi ko barqarar rakhti hai. Fresh milk se face wash karne se is ki rangat nikharti hai or khoobsurti mein izafa hota hai. Qadeem zamane mein gadhi ka doodh jism or chehray ke ghusal ke liye istemal hota raha hai. Tareekh mein likha hai ke Queen Saba, Cleopatra or Helen afzaish husan ke liye gadhi ke doodh se ghusal kiya karti thi. Chehre ki be ronaq or pheeki jild ko dilkash banane ke liye raat ko sone se pehle chehre par dooh ki malai se massage kar lein. 10 minute ke baad cotton ya naram kapray se chehra ahista ahista saaf kar lein. Subah uth kar chehre ko neem garam pani se dho dalein. Chehre ki khushki, chayo or dhabbo ke liye ye majarrib nushka hai. Khaas tor par sardio ke mosam mein massage ka ye tarika bohat faida mand sabit hota hai.
No comments:
Post a Comment