Loo Ke Asrat Se Bachne Ki Tadabeer
heat stroke treatment
home remedies for sunstroke
loo lagne ka ilaj
Jab kisi shakhs ke mutaliq ye shuba ho jaue ke is par loo ka asar ho gaya hai to us ko thandi jaga lita diya jaye. Body par se ziyada tar kapre khusoosan nylon waghera hata diye jayen ke in mein se garmi kharij nahi hoti. Agar beemar ko charpai par pani mein bheegi hui chadar orha kar hawa ke rukh litaya jaye to munasib hai kiyounkay as tarah body ki hararat kam ho jaye gi. Isi tarah bheege hue thande towel se body ki malish ki jaye to hararat kam ho jati ha or head par ice ki pattiya rakhi jayen to dimagh garmi ke muzir asrat se mehfooz rehta hai. Asal ilaj pani ha, jab beemar moo se pani nahi pi sakta to namak amez glucose vein mein charhai jati hai. Dorane khoon ko moassar rakhne ke liye talwo or pindliyo ke neeche se upar ki taraf malish ki jaye. Tabiyat durust hone ky baad kai roz tak gari or dhoop se bacha jaye.
Zamana qadeem se jo mujarrat khana saaz nuskhe loo ke ilaj ke liye mustamal hein in mein leemoo pani, sharbate unab, shahtara, thandai, khushk aalu bukhare, keri ka sharbat, sirka ya imli ka sharbat mashoor hain.
No comments:
Post a Comment