Chehre Ke Siyah Dano Ka Ilaj
siyah daneh or in ka ilaj
Agar phunsio ke moo siyah nuqtay se ban jayen or phunsiya dano ki shakal ikhtayar kar lein to ye or bhi bad numa lagne lagti hein or bohat takleef ka ba'is banti hein. Is halat mein chehre par roghane zaitoon ki malish karein is se phunsiya naram ho jayen gi phir achi tarah soap se face wash kar lein. Shahadat ki ungli par tissue paper lapet kar ahista ahista in dano ko dabayen. Is tarah phunsi ke moo se kale rang ki keel kharij ho jaye gi. In keelo ko nikalne ke baad sheer garam pani mein 2 3 drops dettol shamil kar ke face wash kar lein or saaf kar ke is prickly heat powder laga lein. Prickly heat powder mein mojood kafoor nishanat mundamil karne mein bohat helpful sabit hota hai.
No comments:
Post a Comment