Jism Ki Khushki Or Kharish Khatam Karne Ke Liye
skin care tips
Aap ke body ko nigehdasht ki ashad zaroorat rehti hai. Faqat naha lena kafi nahi hota. Har kisam ke soap mel kuchail ke sath sath skin mein paye jane walay oil ke zakheere ko bhi baha dete hein jo ke baad mein body par khushki ka ba'is banta hai. Agar is marhalay par fori tadaruk na kya jaye to marz barh kar kharish ki shakal ikhtayar kar leta ha. Baqi rahi sahi kasar hum apnay ganday nail se nikal detay hein. Body par nails se khujane se zakham ho jate hein or skin infection ka shikar ho jati ha. Is liye zaroori hai ke hum haftay mein 1 bar body par kisi achay oil ki malish zaroor kiya karein or is ke 1 hour baad naha lein. Agar nahane ke pani mein 2 khane ke chamach sirka mila liya jaye to afadiyat mazeed barh jati hai. Khusoosan kharish zada mareezo ko aesay pani se masalsal nahana chahiye takay body par kharish paida karne walay bacteria ka yaqeeni khatima ho sakay.
No comments:
Post a Comment