Khana Kha Kar Foran Mat Soyen
Raat ko dair se ghar lotne wale afrad ya dair tak doosray kamo mein mashghool rehne walay log ya dair se khana khane ki adat wale log sone se qabal khana zaroor khate hein. Ye fitri amal hai, wesay bhi Hadees Mubarka ki roo se raat ko khana nahi chorna chahiye kiyounkay is se insan ki umar ghat'ti hai. Khana kha kar foran sona 1 khatarnak fel sabit ho sakta hai. Huka tabeebo ka sakhti se mashwara hai ke khana khane ki faraghat se kam az kam 1.5 ya 2 ghantay baad sona chahiye. Foran so jane se kano par bura asar parta hai or kaan jaldi behre ho jate hein, ilawa azen pait ki jumla beemaria bhi isi tarah la haq hoti hein. Behtar yehi hoga ke aap raat ke khane ke liye munasib waqt muqarrar karein takay khane ke baad sone tak aap ko 1.5 se 2 ghante tak ka waqt mayassar aa jaye.
No comments:
Post a Comment