Moo Ke Chalay Door Karne Ke Liye
mouth blisters home remedy
mouth blisters ghareloo totkay
Tomato ke juice mein pani mila kar is se kulli karein. Mooh, hont or zaban ke chalay door ho jayengay. Garmiyo mein amooman moo mein chalay ban jate hein. Ye garam cheezein khane se or baaz aukaat khoon ki kharabi se bhi ho jate hein. Arwi ko bareek kaat kar tez dhoop mein sukha lein. Sookh jane par is ko powder bana lein or phir ye moo mein laga lein. Ye powder 2 ya 3 martaba lagane se behtar mehsoos hoga. Kafoor or katha barabar miqdar mein pees kar kai martaba chalon par malein, chalay door ho jayengay.
Zara si mehendi pani mein bhigoyen or usay kuch dair baad chaan lein din mein 2 3 martaba is se kulliyan karein. Moo ke chalay theek ho jayengay. Tooth paste chalon par lagane se chalay theek ho jate hein. Chalon par katha lagayen, chalay theek ho jayengay.
No comments:
Post a Comment