Tratment From Ginger
benefits of ginger
vegetables benefits
Stomach ke jumla amraz mein ginger useful ha. Ye dast awar bhi ha or qabiz bhi. Taza adrak pisi hui half spoon lijiye is mein 1 spoon water, 1 spoon lemon juice, 1 spoon podinay ka rus or 1 spoon honey mila lein. Ye murakkab wo log din mein 3 bar chaat lein jin ko matli, vomiting, indigestion, jaundice ya piles ki shikayat ho, ye nuskha in diseases ka shafi ilaj ha. Adrak riyah ko tehleel karti ha. Bhook kam lagne ki soorat mein bhi adrak use karein. Pait ka dard or aphara door karne ke liye bhi adrak khai jati ha. Agar apna hazma durust rakhna chahtay hein to khane ke baad taza adrak ka chota sa tukra chaba lein, is nuskhay se zaban ki mel bhi utarti ha nez stomach kai diseases se pak bhi rehta ha. Agar liver ki kharabi ki waja se pait mein pani jama ho jaye to mareez ko adrak ka pani pila lein, ye pani peeshab awar ha or pait ka sara pani nikal deta ha.
nice post
ReplyDelete