Tips To Get Rid Of Smoking
how to get rid of smoking
tips to get rid of smoking
Important or sab se asan tarika ye ha ke pehle aap mazboot irada karein ke cigarette noshi tark karna ha. Phir jab bhi cigarette ki talb ho uth kar saaf or taro taza mahol mein lambay lambay saans lena shru kar dein. Ziyada na ho sake to din mein 3 bar to zaroor ye amal sar anjam kiya jaye is se bohat had tak aap ko sukoon mehsoos hoga or doobara yehi tarika dohrane ko ji chahe ga.
Ibtadai dino mein aesa karne se aap ko qadre mushkil pesh aaye ga lekin ahista ahista positive result baramad hongay lehaza shru mein pani ka use ziyada kar dein. Is se 1 to cigarette ki talb se dhiyan bat jaye ga or doosra body se nicotine ke zehrilay maday bhi kharij hone mein asani hoga.
Baaz log cigarette se peecha churwane ke liye pan, naswar ya coffee waghera ki adat dalte hein lekin ye bhi harmful asrat murattab karti hein is liye positive or natural tareeko se is adat ko tark karne ki koshish ki jaye.
Khana khane ke baad cigarette ke aadi hazrat cigarette zaroor peetay hein in ko chahiye ke bajaye cigarette ke wo 1 cup podina tea piyen jis se hazma bhi mutasir nahi hoga or cigarette se bhi chutkara hasil ho jaye ga.
Cigarette peene wale dosto ki mehfil se door rahein. Apne ghar se tamam cigarette, ash tray or hatta ke apne sab kapray waghera dho dalein takay cigarette ki dhoowen doobara cigarette peene ko ji na chahe.
Subah saweray uthne ka mamool bana lein or taza hawa mein lambay lambay saans lein or halki phulki exercise karein takay majmooi tor par health bahal rahe is ke ilawa din ke kisi bhi hissay mein entertainment ke liye koi indoor game ya interesting movie dekhen is tarah batadreej aap ki nafsiyati khuwahish cigarette se door hoti jaye gay.
Baaz hospitals mein cigarette nosh hazrat ka ilaj bazarya medicines bhi kiya jata ha jahan wo nicotine ke mutabadil kai medicines use karwate hein lekin ye bhi sehat ke liye nuqsan de ha. Is liye koshish karein ke khud natural or simple tareekay se is lanat se chutkara payen warna kisi mahir e nafsiyat se contact karein jo ke aap ko baghair medicines ke mandarja bala hidayat ke peshe nazar apni nigranai mein ilaj karega.

No comments:
Post a Comment