Dhanya Ke Fawaid
health benefits of coriander
Dhanya ke leaves mein hayateen g, hayateen c or carotene mojood ha.
Dhanya maiday ka safra door karta ha, pyaas ko rokta or qay khatam karta ha, dil o dimagh ko thandak deta ha, dast band karta ha.
Har roz 6 masha misri mein khushk dhanya mila kar khane se jaryan o ahtalam door hota ha.
Nafsani khuwahishat ki shiddat se tang hone wale mard ya aurtein dhanya koot kar safoof bana lein or is mein barabar cheeni mila kar half half tola khate rehne se waqti tor par nafsani khuwahishat sard par jati hein.
Dhanya tabkheer maida ke liye mufeed ha, dhanya khanse se neend khoob aati ha, khushk dhanya koot kar khane ya taza dhanya ka rus misri mila kar peene se peshab kam aana ya ruk kar aana khatam ho jata ha.
Agar moo pak jaye, moo mein chale ho jayen or gala pak jaye to 1 2 din khushk dhanya chooste rehne se yaqeeni shifa hoti ha.
Wo jinhein quwate bah ki kami ha hargiz hargiz coriander ka use na karein, in logo ke liye dhaniya nuqsan deh ha.
No comments:
Post a Comment