Kaddu Se Ilaj
benefits of pumpkin
kaddu ke fawaid
treatment with pumpkin
Kaddu (Pumpkin) 1 miskan, sard mizaj, dafe safar or peshab awar ghizai or dawai asrat rakhne wali sabzi ha. Lehaza is ki afadiyat ke peshe nazar ise maiday ke amraz ke liye khas tor par istamal kiya jata ha. Kaddu ka juice peene se na sirf peshab ki jalan khatam ho jati ha balkay ye aanto (Intestine) or maiday (Stomach) se acidity or infection bhi khatam karta ha. Jin logo ko neend nahi aati or un ka sar chakrata ha to aesay log kaddu kaat kar legs ke talwo ki malish karein. Kaddu ka juice tilo ke oil mein mila kar daily raat ko sar par malish kar ke lagaya jaye to gehri neend aati ha.
No comments:
Post a Comment